Chand Falak Par Itra Raha Hai Aaj,
Koi Bekhudi Ki Aarzu Bikhra Raha Hai Aaj,
Use Chhoone Ka Khawab Kabhi Pala To Wo Door Jata Raha,
Usko Ehsaason Mein Dhala To Dil-E Noor Jalata Raha,
Raaton Ko Jo Mehka De Man Ko,
Dhoondta Hoon Use Din Mein Raat Mein,
Koi Nasha Hai Uski Hasi Mein Gum Jata Hoo Uski Baat Mein,
Jab Chandni Smete Hue Chand Door Tak Jata Hai,
Jab Armaa Kayi Dhalte The, Ansoo Bankar Pighalte The,
Jab Laakh Mana Karne Par Bhi Sapne Rah-Rah Kar Jalte The,
Jab Logo Ne Dil Dukhaye To Duniya Ne Kaha Bekhudi,
Aur Jab Mera Dil Jalta Tha To Khuda Ne Kaha Dillagi,
Kabhi Tanhaiyon Ke Pardo Ko Hataya,
To Tujhe Sitaron Ka Noor Paya,
Kabhi Tere Aks Mein Dooba Bhi,
To Tujhe Parchaiyo Mein Mashhoor Paya,
Saawan Ki Lagi Aag Ko Tere Husn Ka Shabab Batata Hoon,
Tere Labon Se Lagti Muskan Ko Aaina-E-Mehtab Batata Hoon,
Kuchh Chhipa Hai Raaz Teri Ankhon Mein,
Parchhaiyon Mein Likhta Jata Hoon,
Tum Samne Aate Ho Jab
Alfaz Khatam Ho Jate Hain
Kehne Ko To Bahut Kuch Hai Magar
Keh Nahi Pata Hun