You Forgive Me For Liking You Too Much
And I’ll Forgive You For Not Liking Me Enough.
You Forgive Me For Missing You So
And I’ll Forgive You For Being So Cold.
Us Ko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai
Bedard Sahi Woh Meri Humraaz To Hai
Woh Aaye Na Aaye Mere Paas Lekin
Shidat Se Mujhe Us Ka Intezaar To Hai
Tum Jaa To Rahe Ho Par Itna To Bata Do
Is Dil Se Kya Kahun Ise Kaise Samjaun
Iske Tootne Ki Awaz To Na Ayegi Tumhe
Par Uske Tukdon Ko Le Kar Mai Kahan Jaoon
Ek Aas Ke Sahare Jee Raha Hun
Jaise Sadiyon Se Rasta Tak Raha Hun
Ye Khamosh Raahen Khushgavar To Nahi
Lekin Fir Bhi Tum Ajana
Wo Rokenge, Aane Nahi Denge
Baat Baat Pe Fikre Kasenge
Jaanta Hun Mushilen Kam To Nahi
Lekin Fir Bhi Tum Ajana
Zindagi Tera Pichha Bahot Dur Tak Kiya
Ab So Jaun Mai Kaise Tujhse Muh Mod Kar
Jisne Chaha Tha Mujhe Kabhi Tut Kar
Aaj Jaa Raha Hai Wo Mujhe Tod Kar
Zindagi Ab To Hai Ek Kore Kagaz Jaisi
Koi Likhta Bhi Nahi, Bahata Bhi Nahi
Kis Kadar Akele Hain Kya Bataen
Koi Hansata Bhi Nahi, Rulata Bhi Nahi
Safar Tanha Nahin Karte
Suno ! Aisa Nahin Karte
Jise Shaaf Rakhna Ho
Usse Maila Nahin Karte
Yun To Zamane Hue Tumhe Gaye Hue
Par Aaj Bhi Har Shae Tumse Vabasta Hai
Yun To Roz Aati Hai Ye Raat Apna Aanchal Failaye
Par Tum Bin To Ye Chaand Bhi Adhura Sa Lagta Hai
Ek Toofan Ko Humne Rok To Liya Hai Apne Andar
Tham To Gaya Hai Par Uska Aankhon Se Barasna Abhi Baaki Hai
Khud Ko Bhula Chuki Hun Teri Yaad Mein
Ek Aas Hai Ke Mera Tujhe Yaad Ana Abhi Baaki Hai
Ek Suhani Shaam Unke Saath Guzarna
Hathon Me Leke Haath Kahin Duur Nikal Jana
Unke Aagosh Mein Jo Guzre Aisi Shaam Ayi Hi Nahi
Mujhe Yaad Ata Hai Wo Sab Jo Kabhi Hua Hi Nahi
Behad Pyar Se Wo Unka Mujhe Chhu Lena
Aur Unki Narm Aankhon Me Mera Doob Jana
Aisi Qayamat To Mujhpe Bezaar Hui Hi Nahi
Mujhe Yaad Ata Hai Wo Sab Jo Kabhi Hua Hi Nahi