Wo Masti Aur Hansi Ka Zamana Yaad Aata Hai,
Wo Bachpan Ka Khud Hasna Hasana Yaad Aata Hai,
Zamane Ke Har Gam Se Anjaan Tha Wo Pal,
Ek Pal Mein Ro Ke Phir Muskana Yaad Aata Hai,
Main Apne Aap Se Ek Jang Har Ke Dekhun,
Phir Ek Baar Unko Pukar Kar Dekhun,
Wo Aaina Jo Mere Zindagi Ka Bane The Kabhi,
Sawar Rahe The Khud Ko Wo Chale Gaye Tabhi,
Main Shaksiyat Ka Chehra Nikhar Kar Dekhun,
Idhar Aa Sitamgar Ek Hunar Aajmayein,
Tu Teer Aajma Hum Hunar Aajmayein,
Tum Gam Ke Jahaan Mein Mujhe Bhejo,
Hum Apni Muskurahaton Ka Shehar Aajmayein,
Rang-E-Haya Ka Khushboo Zulf Lehrane Ke Naam,
Mausam-E-Gull Hai Tumhare Fiza Par Chhane Ke Naam,
Aate Ho To Baharein Bhi Jhoom Uthti Hai,
Phool Bhi Sharmate Hai Tumhare Muskarane Ke Naam,
Aur Mujh Se Paagal Bana Nahi Jata,
Ab To Tadapna Bhi Saha Nahi Jata,
Kaise Bichhde Hain Kya Batayein,
Haal-E-Dil Apna Ab Kaha Nahi Jata,
Tere Pyar Ka Tajmahal Ho Jaun,
Tere Honton Se Nikla Ghazal Ho Jaun,
Meri Khwaishe Hain Anbujhi Paheli,
Tu Agar Suljhaye To Main Haal Ho Jaun,
Tere Diye Har Dard Ko Maine Seene Se Laga Rakha Hai,
Bewafai Ke Har Aansoon Ko Palkon Mein Chupa Rakha Hai,
Read Full ShayariKisi Ki Yaad Mein Ye Aankhein Kho Jati Hai,
Pal Bhar Mein Rim-Jhim Barish Ho Jati Hai,
Papi Aankhon Se Aksar Behte Hain Shabnam,
Bahte Aansoo Dil Ke Daag Bhi Dho Jati Hai,
Toofan Mein Jaise Door Se Sahil Dikhayi De,
Main Us Ko Soch Loon Mujhe Manzil Dikhayi De,
Har Aks Mein Dikhta Hai Ab Us Ka Hi Chehra,
Aise Wo Meri Rooh Mein Shamil Dikhayi De,
Kisi Ne Hume Phirse Rulaya To Kya Hua,
Dil Ko Ek Baar Aur Dukhaya To Kya Hua,
Tanha The Kab Se Mohabbat Ke Bawjood,
Kisi Ne Phir Se Ehsaas Dilaya To Kya Hua,