Saki Meri Pyaas Bujha De
Sukh Rahi Jindagi Labon Par
Nain Gagriya Tu Chalka De
Saki Meri Pyaas Bujha De
Katra Katra Si Ye Jindagi
Ek Samandar Main Gum Ho Gayi
Dub Ke Phir Jo Khoja Ise
Motiyon Ki Ladi Ho Gayi
Main Apni Kis Se Kahon
Kaun Sun Sakega Mujhe
Har Ek Shaksa Yanha Bediyon Ka Hami Hai
Sabhi Ke Sar Par Saje Hain Salib Ke Sehare
Main Koi Meer Nahi Phir Bhi Gajal Kehata Hoon
Tere Badan Ki Har Ek Laya Pe Gajal Kehata Hoon
Tumhe Jo Dekha To Main Shayri Mein Jine Laga
Diwana Ho Ke Main Har Waqt Gajal Kehata Hoon
Wo Rehate Hain Isi Dil Mein Magar Ye Phir Bhi Khali Hai,
Khudaya Hamne Ye Apni Kahani Kya Bana Li Hai
Nazar Bhar Dekhate Bhi To Nahi Hain Wo Hamain Ya-Rub
Hamare Dard Ki Waais Ki Unki Bekhayali Hai
Ragon Main Khun Ban Ke Yaad Unki Raksa Karti Hai
Ye Mehaphil Phir Bhi Veeran Hai Na Jane Kyon Saja Li Hai
Wo Unki Benayazi Aur Apni Phitrate Gairat
Ajab Si Kashmakash Hai Go Yanha Ulfat Sawali Hai??
Na Dekhain Unko To Ye Jisma Sara Jalne Lagta Hai
Ye Aatish Khud-Ba-Khud Hamne Kalege Se Laga Li Hai
Khalish Beshaq Hamare Zakhma Hamko Dete Rehate Hain
Ki Tabe Jabta(Bardashta Karne Ki Takat) Hamne Unke Daman Se Chura Li Hai