Jitna Bhi Tarap Mujhko Tum Dogi
Utna Hi Nazdikiyan Hamaari Hogi
Tu Chord Kar Mujhko Chali Bhi Jaayegi
Yeh Bichdan Mere Pyaar Ko Badhayegi
Jab Pass Unke Rahta Hoon
Toh Tiki Rahti Hai Mujhpe Unki Nigahein
Kabhee Jara Chhip Jata Hoon
Toh Khojti Rahti Hai Mujhe Unki Nigahein
Hum Aaye The Tere Dwaar Tak
Par Khatkhataya Nahi Darwaza
Khade Rahe Hum Badi Der Tak
Aur Dekha Ja Raha Tha Zanaza
Jaise Taaron Ko Amber Se Hai Mohabbat
Aur Sabnam Ko Phoolon Se Hai Mohabbat
Hum Aise Hi Mohabbat Karte Hai Tum Se
Ab Tum Bhi Kaho Na Kuch Hum Se
Kitni Nafrat Thi Tere Ankhon Mein Mere Liye
Aisi Kya Bhool Hui Hai Mujhse Bata Do Mujhe
Zara Thodi Si To Muskura Dena Tu Mere Liye
Teri Us Mukurahat Se Shayad Rahat Mile Mujhe
Paya Hoon Badi Duaon Ke Baad Tujh Ko
Chahate Hain Tujhe Main Apne Dil Se
Koi Kahe Ki Bhool Jaun Main Tujh Ko
Yeh Bilkul Nahi Hai Mere Bas Mein
Hum Dil Jalate Hain Roshni Ke Liye
Par Yahan Ujaala Kyon Nahi Hai
Shaam Hote Hi Ye Dil Udaas Ho Jata Hai
Toote Khwabon Ke Siwa Kuch Nahi Hai
Har Roz Mere Raha Se Woh Gujarti Thi
Meri Nigahen Un Par Hi Tik Jaati Thi
Kuch Chaha Kar Bhi May Kah Nahi Pata Tha
Jab Katilana Nazre Mujh Par Tik Jaati Thi
Yahan Har Shakhs Har Pal Hadsa Hone Se Darta Hai
Khilona Hai Jo Mitti Ka Fana Hone Se Darta Hai
Mere Dil Ke Kisis Kone Me Ek Masum Sa Ladka
Bado Ki Dekh Kar Duniya Bada Hone Se Darta Hai
Pyaar Se Jeena Hai Zindagi Woh Kahti Thi
Par Khud Harkisi Sey Larna Uski Aadat Thi
Woh Jisko Tanhai Se Hamesha Dar Lagta Tha
Magar Tanhai Mein Rehna Uski Aadat Thi