Aaj Fir Tune Mere Dil Ki Gahraiyo Mein Utar Kar Mujhe Jagaya Hai
Mere Tute Huye Khuab Ki Tasveer Ko Fir Se Sajaya Hai
Gujarte Huye Mousamo Ne Jaha Teri Chahat Ko Mitaya Tha
Kismet Me Aaj Tujhe Usi Mod Par Milaya Hai.
Kahte Hai Sharab Har Gum Ko Bhula Deti Hai,
Ashqo Se Bhari Ankho Kee Nahi Ko Bhi Sukha Deti Hai
Dewaano Ko Apne Agosh Me Yu Samet Leti Hai
Jaise Mout Ne Jindgi Ka Daman Tham Liya Ho
Na Tod Dena Dil Kisi Deewane Ka
Har Haseen Se Yahi Dua Karte Hai
Muskura Ke Dekh Lena Bas Ek Bar
Har Mahjbeen Se Yahi Dua Karte Hai
Piyar Zindgi Ka Haseen Tohfa Hai Jaha Zakhmo Ko Dikhana Gunah Hota Hai
Ye To Wo Jajba Hai Jaha Kishti Ko Sahil Par Doob Jana Hota Hai
Piyar Jindgi…..
Piyar Zindgi Mein Hamsafar Ban Kar Ata Hai
Or Jiske Aate Hi Zindgi Phoolo Kee Tarah Mahak Uthti Hai
Ye Dhire Dhire Zindgi Ko Yu Badal Deta Hai Kee
Suraj Kee Sunhari Dhoop Or Chand Kee Sheetal Chandni
Phulo Kee Mahakti Khusboo Or Jharno Kee Balkhati Ragini
Sunaa Hai Milti Hai Kabhi Kahi Kisi Ko
Thodii Si Chandni Thodi Si Ragini