Uske Aane Ki Aas Ko Hum Aas Nahi Kehte
Use Hum Vishvaas Kehte Hai
Mann Mein Uthi Uski Baat Ko Hum Baat Nahi Kehte
Use Hum Pyar-E-Ehsaas Kehte Hain
Aapke Lab Par Ab Humaara Naam Nahi Aata
Par Aapko Bhulane Jaisa Humee Kaam Nahi Aata
Yeh To Aapko ‘Aur’ Yaad Kerna Chahte The
Verna Humare Haathon Mein Kabhi Jaam Nahi Aata
Baar Baar Zindagi Ko Aazmaya Hai Hamne,
Har Pal Har Lamha Sirf Gam Paya Hai Hamne,
Read Full ShayariDil Khush Hain Ke Aaz Wo Dulhan Bani Hui Hain
Par Hatheli Uski Mere Khoon Se Sani Hui Hain
Nahi Royenge Hum Ke Haath Dhul Jayenge Uske
Na Jane Kayon Yeh Baat Mann Mein Thani Hui Hain
Besabr Nigahon Ki Aas Se
Khamosh Labo Ki Payas Se
Jeevan Ki Aakhiri Sans Se
Yeh Shabd!
Phool Sa Komal Wo Pyar Bhare Ehsaas Sa
Mad Bhara Sa Pal Wo Zindagi Jitna Khass Sa
Mere Jism Ki Ruh Wo Hain Meri Sanso Ki Laher
Is Dhara Ka Kamal Wo Dhadkan Jitna Pass Sa
Uske Binaa Yeh Zindagi Muzhe Karz Lagti Hain
Ke Saanso Ki Laher Bhi Abb To Yaro Sazaa Lagti Hain
Roti Hain Zindagi Simat Kar Meri Tanhaai Mein Kahi
Ke Aansuoo Se Miti Dil Ki Mere Har Iltizaa Lagti Hain
Waqt Ka Gujarna Badal Deta Hain Bahut Kuch
Ke Abb Chah To Hain Par Pyar Nahi Hai
Uski Bewafai Ke Baad, Jaise Rishte Badal Gaye
Ke Wo Sab Kuch To Abb Bhi Hain Par Yar Nahi Hain
Nahi Mili Khushi … Na Sahi Par Uska Gam To Milaa
Ke Isi Bahane Hi Sahi Hume Ik Sanam To Milaa
Sahi Hain Ke Mohabbat Haqeeqat Se Door Hi Rahi
Par Isi Dard Se Mohabbat Ka Hume Bhram To Mila
Kaun Jane Ke Mil Jaye Rahe Kahi Par Jakar Phir Se
Isi Baat Se Dosto Jeene Ka Humee Dum To Mila
Mat Roko Muzhe Peene Se Mere Chahne Walo
Ke ‘May’ Ke Roop Mein Hume Dil Ka Marhum To Mila