Chhoone Bhar Se Hi Jo Jalaa De,
Use Aag Kehate Hain.
Paate Hi Jo Khud Ko Bhulaa De,
Use Sharaab Kehate Hain.
Dekhte Hi Jo Hosh Uda De ,
Use Shabaab Kehate Hain.
Kisi Kaa Yaar Roothh Jaaye,
Use Bad-Naseeb Kehate Hain.
Koshishein Phir Kaamyaab Ho Jaayengi,
Jab Diwaanagi Had Se Guzar Jayegi,
Paseene Ki Mehak Ki Taasir Dekhna,
Kaamyaabi Khud Khinchi Chali Aayegi.
Shatranj Ke Khiladi Agli Chaar Chaalein Soch Lete Hain,
Nadan Hain Wo Jo Aankh Meech Kar Hi Kood Lete Hain,
Duniya Ke Iss Jungal Mein Shikaariyo Ke Fande Lage Hain,
Zinda Wahi Hain Jo Shikariyon Ka Shikaar Kar Lete Hain.
Kaise Bhula Doon Usko Jise Barson Seene Me Chhipaayen Rakhaa Hai
Jaan Leke Meri Wo Jaayega Jise Apna Hamdard Bana Ke Rakhaa Hai
Read Full ShayariKaise Shukriya Ada Karoon,
Aap Guru Janon Ki Dariya-Dili Kaa,
Boond Ki Talaash Mein Aaya Thha,
Dariya Bahaa Diya Aapne Gyaan Ka.
By Pramod Kumar Sharma
Emaarton Ka Kad Badhne Se Kya Hoga,
Insanitat Ka Kad Girta Jaa Rahaa Hai.
Emaarten Aasmaan Se Baaten Karrahi Hain,
Aadmi Chine Hue Pattharon Sa Udaas Hai.
By Pramod Kumar Sharma
Zakhm To Bahut Diye Es Zamaane Ne Par Dikhaun Kaise,
Marham Dikha Kar Namak Chhidak Dete Hain Log Jane Kaise.
By Pramod Kumar Sharma
Apni Tamanna Poori Ki To Kya Ki,
Kisi Ki Zaroorat Ban Ke Dekho.
Dil Ka Dhadakna Zindagi Nahin Hoti,
Kisi Ke Dil Mein Dhadak Ke Dekho.
By Pramod Kumar Sharma
Khud Hi Ko Apna Geet Sunaaun To Kya Maza Aaye,
Are Maza To Tab Hai Jab Main Sunoon Aur Too Sunaye.
By Pramod Kumar Sharma
Zindagi Aik Daud Ban Gayi Hai,
Yahaan Koi Apna Paraya Nahin.
Gar Ladkhada Ke Gir Gaye To,
Khud Uthna Hoga, Madad Koi Nahin.
By Pramod Kumar Sharma