Zikar Kiya Tera To Baat Ban Gayi,
Dil Mein Ek Ajab Si Kushi Ban Gayi,
Sab Kuch Hai Par Na Jane Kya Kami Khal Gayi,
Esi Ko Dundhte-Dundhte Ek Nazam Ban Gayi,
Moosibaton Se Nafrat To Karte Hum Nahi,
Aaye Jo Man Karke Dil Dukhate Hum Nahi,
Jab Kushiyon Se Baat Hui Boli Fursat Humein Nahi,
Humne Kaha Aa Jana Aaram Se Jaldi Humein Nahi,
Kash! Agar Koi Aayina Hota Jo Hum Apne Man Ko Dekh Lete,
Phir Dusron Ko Kuch Kehne Se Pehle Hum Jaroor Soch Lete,
Sari Zindagi Bahar Hai Doondhte Rahe Kash! Kabhi Andar Dundh Lete,
Har Waqt Dikhave Mein Jiye Kash! Kabhi Sach Mein Ji Lete,
Na Jane Ye Dil Kya Chahta Hai,
Jinse Hai Shikwa Unhe Hi Chahta Hai,
Puchne Pe Is Ishq Ke Saude Ko Na Nuksaan Batata Hai,
Kehta Hai Bina Unke Mile Bhi Bahut Kuch Paa Liya,
Agar Alfazon Mein Tum Nahi To Alfaz Beymani Hain,
Agar Dumon Main Teri Yaad Nahi To Dum Beymani Hain,
Agar Aankhon Main Tere Khawab Nahi To Aankhein Beymani Hain,
Agar Dhadknon Main Tum Dhadakte Nahi To Dhadkan Beymani Hain,
Humein Nahi Malum Anzam Kya Hoga,
Yeh Ishq To Ab Nibhana Hi Hoga,
Rehna Tujhse Door Ab Mumkin Na Hoga,
Toot Jayenge Hum Sath Tujhe Dena Hi Hoga,
Pani Ki Keemat Samjho Yeh Logon Ko Batana Hai,
Bahut Hai Ke Veham Mein Hain Log Unhe Jagana Hai,
Pani Gairon Ke Liye Nahi Apne Liye Bachana Hai,
Baad Mein Nahi Samaye Rehate Ise Bachana Hai,