Zindagi Apni Dastan Khamoshi Se Sunati Hai
Yaado Ki Ret Me Naam Likhti Hai Mitati Hai
Apni Hi Tasveer Me Gam Aur Khushi Dono Ke Rang Sajati Hai
Ham To Chalte Hai Sath Sath Iske
Khwahish Nahi Kabhi Ke Uske Hothon Pe Mera Naam Hoga
Ummid Hi Rahi Ke Raston Pe Uske Mera Bhi Ek Mukam Hoga
Bekhudi Me Beeta Diye Lamhe Zindagi Ke
Meri Barbadi Ka Uspe Ye Chhota Sa Ilzam Hoga
Bhoolna Chaha Gam-E-Manzar Meri Barbadi Ka
Har Nasha Kiya Par Vo Dard Bhoola Na Saka
Jane Kaisi Majboori Thi Uski Mujhse Duriyo Ke Liye
Sahilo Se Jab Chhutaa Fir Mai Fir Se Paas Ja Na Saka
Mere Sahil To Laharon Ke Saath Hi Chalte Rahe
Lahro Ki Hi Hasrat Thi Jo Havao Ke Rukh Badalte Rahe
Mera Samandar Chupchap Rota Raha
Jab Dil Se Dard Ke Shole Nikalte Rahe
Dil Ki Zameen Pe Gamo Ke Marham Lagate Rahe,
Ishq Kiya Tha Tut Kar, Isliye Khushiyo Ke Khwab Bante Rahe Bigad Jate Rahe
Tanha The Khushiyo Ki Mehfil Me Uske Baigair,
Dekha Use Toh Mehfil Sajate Rahe
Dard Ka Silsila Jab Dil Ke Aarpar Hota Hai
Zindagi Gumshuda Lagati Hai Sanso Ka Waada Tar Tar Hota Hai
Lakh Koshisho Ke Baavjood Aankhe Nam Ho Hi Jaati Hai
Na Kaabu Khud Pe Hota Hai Na Dil Pe Ikhtiyar Hota Hai
Raho Me Mujhe Zindagi Ki Talash Thi
The Kitane Gam Lekin Khushiyan Kahi Aaspaas Thi
Milati Rahi Manjile
Lekin Dhadkan Kyun Udaas Thi
Hasti Hai Muskurati Hai Ruthati Hai Maan Jati Hai
Zindagi To Zindagi Hai Chalti Rehati Hai Chalti Jati Hai
Nibhao Zindagi To Nibhati Rehati Hai
Na Nibha Sako To Tumhare Ilzam Sehti Hai
Nasamjh Tha Apni Hi Bekhudi Mein Main To
Janta Na Tha Har Mod Pe Tera Ek Mukam Tha
Bhulna Chahta Tha Use Dil Ki Gehraiyo Se Apni
Meri Har Sans Me Likha Jo Naam Tha