Taras Gaya Hu Adaa Ke Deedar Ko,
Wo Mujhe Aisi Saza De Gaye.
Khatm Na Ho Kabhi Bhi Intezar,
Meri Ankho Me Wo Aks De Gaye.
Bhar Kar Tasveer-E-Yaar Aankhon Mein,
Hum Ne Intezaar Mein Aankhen Bandh Karli.
Zara Der Se Jo Aayi Adaa K Badan Ki Khushbu,
To Humne Khud Se Saase Judaa Kar Li.
Usne Banaya Aashiya Apna Mere Janazey Par
Apne Janazey Ko Dulhey Sa Saja Jaunga
Har Waqt Har Pal Be Maut Mar Raha Hai Aks
Koi De De Zeher Hus K Main Pee Jaunga
Hazaro Dard Hazaro Gum Sahey Maine Adaa Ki Khatir
Jaane Kisne Ye Keh Diya K Aks Bejaan Rehte Hai
Meri Hasti Mit Gayi Mere Armaa Bikhar Gaye
Uspar Ye Sitam Wo Mujhe Deewangi Ka Ilzaam Dete Hai
Kabhi Khwab-O-Khayal Me Socha Na Tha
Meri Adaa Ne Mujhe Aisa Dhoka Diya
Jalti Hai Shamma Jis Tarah Numaish K Liye
Meri Mohabat Ko Usne Aisa Ruswa Kiya
Ye Sochkar Ke Wo Shayad Bhool Gaye Sab Kuch,
Hota Hai Dil Mein Dard Kitna Sheesha Tod Ke Dekh.
Jis Kadar Aks Tadapta Hai Aur Rehta Hai Bechain,
Kya Wo Bhi Tadapte Hai Zara Jaa K To Dekh.
Taqdeer Ne Mera Ye Kaisa Imtehaan Liya,
Kabhi Unse Milaya Aur Kabhi Judaa Kiya,
Unki Tasveer Na Khafa Ho Jaaye Meri Aankhon Se,
Apne Dil Ko Jalaya Aur Saaso Ko Bujha Diya,
Itni Si Khata Par Ke Adaa Aks Ki Hai Jo Likha Deewar Par,
Umr Bhar Tadapne Ki Saza De Gaye Hai.
Ye Aks Naam Diya Hua Hai Unhi Ka,
Jo Aaj Gairo Par Meherbaa Ho Gaye Hai.
Judaa Hui Wo Humse Kuch Is Tarah,
Hum Saase Lena Bhool Gaye.
Rehta Hai Uska Intezar Aaj Bhi Aks Ko,
Isliye Hum Ankhe Bandh Karna Bhool Gaye.
Dil Ne Kaha Seene Mein Jo Dard Hai Dikha De Aaj,
Bahot Chup Baitha Hai Tu Kyu Gumsum Hai Aaj,
Tasavvur Hi Tha Uska K Qalam Bol Padi Aaj,
Teri Surkh Aankho Me Hai Aks Adaa Ka Aaj,