‘Patjhar’ Mein Bikharte Patton Ko,
Kisne Dekha Hoga Girte Der Tak,
Shaakh Se Tut Ke Girte Huye Unka,
Dard Mahsus Kiya Hoga Kisne, Der Tak,
“Pyar Pe Lagane Wale Pabandiya,
Dhadkanon Pe Lagao Pahre To Jaane,
Saanson Ko Bandh Sako Shayad Kabhi,
Mout Pe Lagao Pahre To Jaane”,
Yu Na Nazren Chura Mujhse Pyaar Jata Ke,
Kah De Jo Gila Hai Mujhse Tujhe,
Sah Na Sakenge Teri Nafrat Ko Hum,
Bahut Chaha Hai Humne Tujhe Sanam,
Dil Tod Ke Na Ja Meri Duniya Se,
Tu Nahi To Kya Karenge Is Jahan Ka Hum.
By Neetu
Hansi Labon Pe Aur Awaz Mein Khanak Rakhten Hain,
Dil Mein Daba Ke Dard Juban Pe Pyar Rakhten Hain,
Kahin Chalak Jaye Na Aansu Darte Hain Hum,
Isliye Har Waqt Hoton Pe Muskaan Hum Rakhten Hain.
By Neetu
Samajhten Hain Wo Ki Hamein Koi Gum Nahi,
Kitne Nasamajh Hain Jo Ye Samajhten Hain,
Dil-O-Jaan Se Chahti Hun Jise,Use Mere Pyar Ki Kadar Nahi,
Is Dard Ka Kaise Ehsaas Karaun Unhen, Jo Kahten Hain Hamen Koi Gum Nahi.
By Neetu
Pyaar Na Mila, Na Mili Koi Khushi Hamein,
Na Saath Kisi Ka, Na Mili Dosti Hamein,
Kaise Karein Kisi Se Shikwa, Jo Na Thi Takdeer Hamari,
Wo Cheez Milati To Milati Bhi Kaise Hamein.
By Neetu
Laga Le Agar Pyaar Se Tu Gale,
Shayad Phir Se Ji Uthe Hum,
Yu Na Nazren Ghuma Humse Sanam,
Pyar Humne Bhi Kiya Hai Tujhe Tut Ke
Tere Gam Ko Is Kadar Aanchal Mein Liye Firte Hai Hum,
Jaise Tufan Main Koi Shamma Liye Nikla Ho.
By Neetu
Tu Na Mil Saka Teri Yaad Ka Sahara Bahut Hai,
Hamen Apne Jakhmon Se Shikayat Nahi,
Tere Pyar Ka Marham Bahut Hai,
Marr Sakun Teri Bahoon Mein To Naseeb Samjhun,
Din Dhalta Raha, Raat Hoti Rahi,
Subah Aati Rahi, Shaam Hoti Rahi,
Unki Yaad Aati Rahi,
Jindagi Katra-Katra Un Hi Pighalti Rahi,