Humne Socha Na Thaa Ki Waqt Ka Takaza Ye Hoga
Ki Koi Meri Safgoi Pe Hi Ungli Utha Dega,
Humne Pala Thaa Hamesha Se Hi Insaniyat Ka Jajba,
Koi Insaniyat Pe Mera Vishwas Hila Dega,
Hudod-E-Zabt-E-Wafa Se Guzarne Wala Tha
Main Apne Aap Ko Neelaam Karne Waala Tha
Safar Ke Shauq Ne Majboor Kar Diya Warna
Main Tere Shehar Mein Ik Din Theharne Wala Tha
Jidher Bhi Jaoon Nazar Mein Us Ka Chehra Rahta Hai
Wo Mere Dhiyan Ke Sabhi Raastoon Mein Rahta Hai
Bicharh Kar Us Se Pereshan Mein To Hoon
Par Suna Hai Wo Bhi Uljhanoon Mien Rahta Hai
Ye Zindagi Bhee Azab Khel Khilaati Hai Hamen
Kabhi Hansaati Hai Kabhi Rulaati Hai Hamen
Tujh Se Bhee Jo Bhichhade To Yeh Zindagi Ka Hi Ilm Thaa
Ab Dekhiye Kis Kis Se Milaatee Hai Hamen
Gum Kee Aahat Naa Aaye Apke Dar Par
Pyaar Ke Samandar Kaa Aap Kinara Ho
Bhool Se Tapke Aapki Aankh Se Jo Aansoon
Use Thaame Who Jo Aapko Sabse Pyara Ho
Yun To Mehfilen Kabhi Udaas Nahi Hoti
Pyaar Kii Manjilen Kabhi Paas Nahi Hoti
Pyaar Hota Hain Kabhi Kabhi Aisa Zindagi Mein
Mil Jate Hain Woh Jinki Kabhi Aas Nahi Hoti
Itne Shikwa Itne Gile Bin Soche Keh Gaye Zindagi Se
Kya Kabhi Socha Yeh Zindagi Hai Kiske Dum Se
Jab Kabhi Lagi Thokar, Dil Ke Hue Itne Hisse
Chaah Kar Bhi Chip Na Paaye Doston Se Woh Kisse
Bar Bar Mujh Say Pucha Jata Hain
Kiya Kammi Hai Tumharay Jeevan Mien
Kion Mien Itni Uddass Rehti Hun
Kion Mien Her Waqt Roti Rehti Hun
Sirf Ruswai Hai Ab Arsh-E-Zameen Paar Meri
Kalvaaton Ko Ab Apna Dost Banana Hai
Bant Diya Humne Apne Hisse Ka Bhee Pyaar
Ab Tu Bus Dhokon Ka Saath Nibhana Hai
Pyaar Ka Pehlaa Akshar Adhuraa Hain
Usse Puraa Sache Aashiq Karte Hain
Agar Tamanna Ho Milne Ki Pyaar Se Awaaz Denaa
Hum Tumhaare Dill Mein Hi Baste Hain