Aaj Ki Raat Bahut Hi Gehari Hai
Bhul Baithe Tum Jo Keh Ke Mujhe
Ab Bhee Woh Baat Wahin Thahri Hai
Aaj Ki Raat Bahut Hi Gehari Hai
Kaash Wo Yeh Baat Puri Kar Jaaye
Zindagi Ka Pata Nahi Maalum
Kuch Bhee To Tere Siva Nahi Maalum
Jisne Baksha Hai Dard,Usko Bhee
Dard-E-Dil Ki Dawaa Nahi Maalum
Raat Uss Ne Pucha Thaa
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki
Main Ne Kehna Chaha Thaa
Saal-O-Maah Ke Baarey Mein
Guftagu Ke Kya Maani ?
Chahey Koi Manzar Ho
Dasht Ho , Sumandar Ho
Paani Mein Kiski Sadaa Hai?
Lagta Hai Jaise Koi Ro Raha Dariyaa Ki Teh Mein
Yeh Kya Kehtaa Hai Sanata Chupke Chupke?
Kiska Raein Basera Hai Yeh Saari Duniya?
Pathar Aur Chuna Bahut Thaa Lekin Agar Thodi Si Jagah Per
Deewaar Ki Tarah Ubharkar Khada Ho Jaata
To Ghar Ban Sakta Thaa Per Bana Nahi
Woh Dharti Per Fael Gaya Sadakon Ki Tarah
Mein Tamaam Umr Yehi Sochti Rahi Ki Mein Tanhaa Hun
Magar Yeh Kaisi Tanhayii Hai Ki Her Roz Ek Nazm Janam
Leti Hai Seene Mein Kisi Ke Aane Kii Aahat
Dil Ke Aas Paas Huaa Karti Hai
Zehan Ke Khayalon Main
Ruh Ke Ujalun Main
Zindgi Ki Jheelon Main
Zaat Ki Fasilon Main
Jab Bhi Baadal Kareeb Aate Hain
Dhup Ke Paaon Ladkhadaate Hain
Mausamon Ke Udaas Rehne Se
Phul Khilne Mein Hichkichaate Hain
Apne Dil Se Hi Kabhi Dil Laga Ke Dekh Zara,
Hausle Khudke Kabhi Aazmaa Ke Dekh Zara.
Haath Failaaye Huey Firta Hai Tu Zamaane Mein,
Janib-E-Falak Kabhi Haath Uthaa Ke Dekh Zara.
Wo Ek Shakhs Ki Aaya Thaa Aur Chala Bhi Gaya
Bujha Ke Dard Ki Shammein Unhe Jalaa Bhi Gaya
Ajeeb Si Yeh Thakan Hai Ki Taazgi Ka Gumaan
Umang Cheen Le Gaya Ki Hausaley Dila Bhi Gaya