Pal-Pal Lamha Intzaar Ka Tadpaata Hain
Pal-Pal Nasha Bankar Wo Hamein Madhosh Kar Jaata Hain
Pal-Pal Dhadkane Uski Aahat Per Dil Thaam Liya Karti Hain
Pal-Pal Nazre Usi Ko Dhundha Karti Hain
Dhundhli Thi Jo Tasvir Khwabo Mein
Aaj Wo Puri Ho Gayee
Na Jaane Kab Chahat Ke Kore Kaagaj Mein
Apna Rang Bhar Gayee
Baarish Ki Bundo Ki Tarah Chamakti Hui Yaadein
Gulab Ki Pankhudi Ki Tarah Mehekti Hui Yaadein
Gaalo Pe Saji Hui Muskurahat Se Bhari Hui Yaadein
Aankhon Mein Kajal Ki Tarah Saji Hui Yaadein
Khoyee-Khoyee Si Khwabo Mein Ghabrati Hui
Ghunghat Mein Haya Mein Dubi Hui
Chandni Raat Mein Muskaati Hui
Raaho Mein Na Jaane Kiska Pata Puchhti Hui
Kaise Rahu Chup Ki Aaj Main Khud Ko Bhul Jaana Chahti Hoon
Kisi Ke Lamho Ke Sahare Main Uske Yaadon Mein Dub Jaana Chahti Hoon
Pal Pal Badti Betabi Sirf Uska Naam Pukarti Hain
Chahe Ya Na Chahe Ehsaaso Ki Dor Thaam Usko Paas Bulaati Hain
Khoyee Khoyee In Aankhon Mein
Na Jaane Kitne Khwab Samaye Hain
Chori Chori Chupke Chupke In Palko Pe
Na Jaane Kitne Armaan Muskaaye Hain
Ehsaas Khwabo Se Bhara Hua
Saagar Ke Bundo Se Saja Hua
Gehra Hain Ye Kaalli Nazro Ki Tarah
Dil Mein Na Jaane Kise Basata Hua
Kaun Ho Tum Ye Main Jaanti Nahi
Par Juth Ho Tum Ye Maanti Nahi
Tasvir Mein Jo Chehra Hain
Wo Ek Din Sach Hoga
Bekhabar In Ehsaaso Ko Na Jaane
Kab Tumhari Khabar Ho Gayee
Meri In Khoyee Hui Nazro Mein Na
Jaane Kab Tum Chori Se Chupke Se Aa Ke Sama Gaye
Na Jaane Ye Kyaa Ho Gaya
Mera Jo Dil Thaa Wo Tera Ho Gaya
Dhak Si Aawaj Mein Sirf Tera Hi Naam Hain
Saanso Ki Her Raftar Pe Bass Tera Hi Nasha Hain