Kuch Ziayada Beqarari Ho Gaee Hai
Kuch Ziayada Aah O Zaari Ho Gaee Hai
Yaad Phir Bechen Rakhti Hai Tumhari
Wehshat E Dil Mujh Pe Taari Ho Gaee Hai
Tazkirah Ab To Mohabbat Ka Na Bhaye Hai Mujhe
Ishq-O-Ulfat Ka Lagawat Ka Na Bhaye Hai Mujhe
Zahen Pe Her Lamhe Chchaaya Tha Khayal Un Ka Kabhi
Zikr Ab Un Ki Inayet Ka Na Bhaye Hai Mujhe
Guzushta Raat Ka Manzer
Mein Kyaa Kahun Logon
Yeh Mere Khuab
Musalsal Azaab Hain Logon
Siyaah Lambi Sarak
Aur Mera Tanha Safar
Woh Sard Tez Hawa
Per Na Koi Rakht Aye Safar
Zulm Tum Kerte Rahe, Ham Natawan Sehte Rahe
Bijliyaan Girti Raheen, Toofaan Mein Ham Behte Rahe
Aayega Voh Jaane Waalaa, Ham To Yeh Samjh Kiye
Umeed Ka Chuuta Diya, Jis Ke Tale Rehte Rahe
Zindagi Meri Pur Aafaat Ho Gaee Hai
Jaise Beemaar Hoon Aur Raat Ho Gaee Hai
Ey Junoon Haath Grebaan Ke Qareeb Hai Kis Ka
Shayed Phir Un Se Mulaqaat Ho Gaee Hai
Guzre Huey Lamhaat, Ey Kaash Palat Aayein
Pehle Se Voh Jazbaat, Phir Lot Ke Aa Jaayein
Dikhla De Kashish Apni, Aiy Jazb-E-Mohabbat Phir
Paimaana Liye Dil Ka, Phir Jaam Voh Chalkayein
Tum Kyun Mujh Se Poocho Ho
Kya Kya Guzri Mujh Pe Yaaron
Tum Kyun Mujh Se Poocho Ho
Meri Gudri Mera Thikaana
Ab Bhee Hamari Nazroan Mein Ay Hamdem Tum Hee Samaye Ho
Ab Bhee Yaadon Kee Duniya Mein Umeed Kaa Jalwa Laaye Ho
Zapt-O-Sakoon Kee Taaqat Se Sab Tufaanon Pe Chaye Ho
Ab Bhee Hamari Nazroan Mein Ay Hamdem Tum Hiee Samaye Ho
Dil Kii Barbaadi Kaa Maatem ; Kaise Ho
Shorishon Kaa Saaz Madhem ; Kaise Ho
Abr-E-Rehmat Ab Umand Ker Aa Bhi Ja
Hem Bhi Hoan Mamnoon-E-Shabnem ; Kaise Ho