The World We See A World Of Sorrows
The World We See A World Of Happiness
The World We See Where People Love One Anotherin Their Hearts
The World We See Where People Hate Each Other In Their Hearts
Mere Ishq Ka Mere Pyaar Ka,Ye Ajeeb Tu Ne Sila Diya
Kabhi Hanste Hanste Rula Diya Kabhi Rote Rote Hansa Diya
Na Pehle Hi Koi Sabaq Liya ,Na Hi Aehd E Rafta Ki Fikr Ki
Gham E Zindagi Ne Jhanjhod Ke Mujhe Ghaflaton Se Jagadiya
Kyun Mere Khuabon Mein Aa Jaate Ho Lamhen Ban Kar
Kyun Mere Nazron Mein Aa Jaate Ho Sapne Ban Kar
Zindagi Tu Kyun Nahin Jeene Daite Hai Kahin
Har Jagah Chale Aate Ho Apne Ban Kar
Tum Ne Chaha Hai Sabhi Ko Yeh Yaqeen Hai Hum Ko
Sab Tumhein Bhi Chahein Yeh Zaroori To Nahin
Tum Ne Be Lus Hi Logon Se Mohabbat Ki Hai
Log Tum Se Bhi Nibhaen Zaroori To Nahin
Tu Hi Baata Tujh Ko Humraaz Banaayein Kaise
Khwaab Hai Ya Haqeeqat Yeh Bataaen Kaise
Husn Tera Hai Haseen Sab Se Humein Hai
Maaloomphir Bhi Ae Dil Tujhe Apnaa Banaaein Kaise
Jab Se Tere Naam Kar Di Zindagi Achi Lagi
Tera Gham Acha Laga Teri Khushi Achi Lagi
Tera Paekar ,Teri Khushbotera Lehja,Teri Baat
Dil Ko Teri Guftugu Ki Saadgi Achi Lagi
Kya Khata Mujh Se Hui Mujh Ko Woh Kehta Bhi Nahi
Paas Aata Bhi Nahi Paas Bulaata Bhi Nahi
Baat Dil Ki Mere Chehre Se Pad Leta Magar
Apne Chehre Pe Koi Baat Woh Laata Bhi Nahi
Na Mein Paas Us Ko Bula Saka Na Mein Dil Ki Baat Suna Saka
Woh Hansi Hansi Mein Hi Chal Diya,Mi Mein Haath Tak Na Hila Saka
Na Hai Dushmani Kisi Din Se,Ab Na Hai Dostee Kisi Raat Se
Hai Bacha Hi Kya Jo Woh Lay Gaya,Mujhe Cheen Kar Meri Zaat Se
Fitrat E Husn Ko Afsos Na Samjha Hum Ne
Apne Gham Ka Na Kiya Phir Bhi Madawa Hum Ne
Shikwa E Aehd E Mohabbat Na Kabhi Hum Ne Kiya
Bewafa Ko Bhi Wafaadaar Hi Samjha Hum Ne
Gulsitaane Mohabbat Ki Bahaaron Ne Mujhe Loota
Nighahe Shoq Jab Uthi Nazaaron Ne Mujhe Loota
Fasaana Ban Gaya Ulfat Ka Teri Soch Ley Zaalim
Ke Jab Jaane Adaa Tere Sahaaron Ne Mujhe Loota