Mera Yaar Aya Ghazal Ho Gai
Khushi Saath Laya Ghazal Ho Gai
Sada Khush Rahe Tu Hai Meri Dua
Tera Ishq Paya Ghazal Ho Gai
Kab Is Dil Mein Tamanna-E-Jaawedani Thi
Humne Mager Kabhi Taqdeer Ki Na Mani Thi
(Jaawedani = Hameshgi)
Gerdesh-E-Mudam Se Nikle Bhi Hum Bar Ha
Baaes-E-Tameer Hum Ne Na Paii, Na Pani Thi
(Gerdesh-E-Mudam = Musalsal Banwar Mein) , (Bar Ha = Bar Bar)
Na Tha Maloom To Aise Chala Jae Ga
Hansa Ke Mujhe Beinteha Phir Rulay Ga
(Beinteha= Unlimited)
Is Aas Pe Ab Bhi Jee Rahi Hon Mien
Katty Gi Raat Kathin To Din Aye Ga
Waqt Jaisy Gya Ho Thehr Lagta Hai
Aik Qatra-E-Aab Bhi Mujhe Ab Zehr Lagta Hai
Mujhe Merny Ki Koi Chahat Nhi Hai
Mager Jeena Mujhe Ab Qehr Lagta Hai
Ab Meri Zindagi Jaisy Andhera Hi Andhera Hai
Roshni K Shehr Mein Bhi Kahan Koi Swera Hai
Matlab Prasti Ki Dunya Mein , Kisko Apnaon ?
Doston Ki Aad Main Dushmanon Ne Ghera Hai
Bin Waja Dil Ko Dukhaey Ja Rha Hon
Unginat Aanso Bahay Ja Rha Hon
Umer Bher Jiski Khuwahish Kerta Rha
Aj Who Hi Lamha Ganwaey Ja Rha Hon