Phulon Ko Mehkna Sikhane Chale,
Kaise Chale Ye Hawaon Ko Rukh Batane Chale,
Hum To Bahana Dhoondte Hai Doston Par Mar Mitne Ka,
Aur Dost Hai Ke Hame Dosti Sikhane Chale.
By Mohd Imran
Aye Dost Kabhi Humse Rutha Na Karna,
Bhule Se Bhi Hame Bhulaya Na Karna,
Gar Puche Zamana Kurbani Sache Dost Ki,
To Rakh Ke Apna Haath Mere Khande Pe,
Faqr Se Aage Bada Diya Karna.
By Mohd Imran
Khoobsurat Ho Tum,
Badi Nazuk Ho Tum,
Shayad Badi Nazaqat Se Banaya Hoga Rabne Tumhe,
Khoobsurati Ki Inteha Ho Tum.
By Mohd Imran
Bewafai Na Kar Wafa Ki Had Bata Denge,
Hum Apne Ghamo Ko Shayari Me Bayan Kar Denge,
Har Lafz Mein Wo Dard Paida Karenge,
Ke Har Koi Hame Apna Banane Ke Liye Tadpenge.
By Mohd Imran
Bewafa Se Dil Lagane Chale,
Pattar Se Dil Ko Hum Piglane Chale,
Toot Kar Bikhar Gaye Hum Tukdo Mein,
Pattaron Ke Shaher Me Kaanch Ka Ashiyana Jo Banane Chale.
By Mohd Imran