Muddaton Baad Tu Yaad Ayaa Hai
Tujhe Hum Yun Hi Jaane Nahin Denge
Bata Dengi Ke Kitni Wafa Hai Dil Mein
Dikha Denge Ke Kitna Dard Hai Iss Dil Mein
Main Tere Saath Hoon Janhaa Tu Hai
Dill Ki Dharti Ka Aasman Tu Hai
Aankh Jalwaa Teri Talaash Kare
Dill Bhi Pooche Mera Kahaan Tu Hai
Apni Zaati Zindagi Mein Jo Masrufiyat Hai
Usi Ka Ghiraaw Hum Tod Nahin Paa Rahe Hain
Phir Bhi Ab Se Koshish Karenge
Apne Kalaam Aap Tak Ponhchane Ki
Meri Khushiyon Mein Tu Shaamil Nahin Hai Par
Mere Gam Ko Rangeen Bana Deti Hain Teri Yaadein
Tera Haasil Sahi Mumkin Nahin Tha Jab
Mere Ehsaas Ko Chhod I Hain Teri Woh Baatein
Milna Tha Ittefaq Bichadna Hua Naseeb
Lo Ho Gaye Juda Kal Tak Jo The Kareeb
Jeete The Marte The Karte The Ishq Bhi
Zinda Hain Ab Bhi Dil Mein Who Azez
Ada Ada Ka Yeh Ek Zikar Hai
Jhalak Bhi Ek Dewaana Kar De,
Main Apne Dil Ko Kaise Thamoon
Har Ek Mausam Lage Suhana
Mujhe To Kuch Khabar Nahin Thi
Ke Jin Nigahon Se Tum Ne Dekha
Hua Yeh Ehsaas Ki Hum Jawaan Hai
Kahan Hai Dil Aur Hum Kahan
Meri Zindagi Ke Saaye
Mujh Se Juda Nahin Hai
Yeh Jazba-E- Muhabbat
Be Aks Ho Gayi Hai
Who Ummedon Ke Mele
Har Armaan Ka Machalna
Sau Mushkilon Mein Reh Kar
Har Mushkilon Se Ladna
Mujhe Se Behtar Jo Jaanta Hai Mujhe
Hai Kareeb Aur Ajnabi Hai Wo
Jo Mere Sher Pad Nahi Saktaa
Kya Kahoon Meri Zindagi Hai Wo
Kehtaa Hai Kaun Khwaab Ki Taabir Chaahiye
Aankhon Ke Samne Teri Tasveer Chaahiye
Wo Aaye Mujh Ko Dhundne Aur Main Milun Nahi
Aisi Bhi Zindagani Mein Taqdeer Chahiye
Us Ke Dar Pe Jaa Ke Dekh Liyaa
Apna Sab Kuch Bana Ke Dekh Liyaa
Laakh Samjhaya Par Na Samjha
Dill Hi To Hai Aazma Ke Dekh Liya