Kismat Bhi Ajeeb Hai Aaj Phir Se Unse Mulakat Ho Gayi
Pyar Ke Arman Ubarne Lage Jazbato Ke Saath Khilwat Ho Gayi
Dafna Diya Unone Ehesas-E-Mohabbat Ko Jane Kaha
Pyar Ki Jagha Berukhi Unki Chahat Ho Gayi
Bahot Kaali Thi Who Raat Hume Yaad Hai Aab Tak
Guzar Chuki Who Par Aab Tak Meri Zindagi Pe Chayi Hai
Alag Hogaye Humare Unse Raste Us Raat Kuch Aise
Jaise Dono Ki Manzil Hi Ek Doosre Se Parayi Hai
Aaj Phir Se Hume Tanhai Ka Guman Hua,
Ashkon Ka Samundar Ankhon Pe Meherban Hua,
Dil Me Jo Dard Tha, Behe Gaya Kuch Palon Ke Liye,
Shant Hui Dil Ki Hulchul, Yeh Dil Bhi Ansoon Ka Kadardan Hua,
Woh Dekho Door Humse Ja Raha Hai Koi
Tanhai Ke Samundar Me Hume Duba Raha Hai Koi
Wafa Ke Kisse To Bohot Pade Kitabo Me Humne
Aaj Bewafai Ke Sur Gunguna Raha Tha Koi
Kasme Khayi Thi Unone Saath Nibane Ki
Gum Ki Doop Me Pyar Ki Chaon Dikhane Ki
Kyu Gum Hai Meena Unke Jane Ka Tujhe
Woh Tood Gaya Jo Woh Ek Wada Hi To Hai
Ankh Se Gira Ek Ashk, Iski Keemat Kisi Ne Na Mani,
Dard Me Dooba Hai Yeh Woh Jazbaat, Jiski Haqiqat Kisi Ne Na Jani,
Sukhi Ankhon Mein Gum Ki Lehre Jab Machalne Lagti Hai,
Tab Har Ek Bond Sunati Hai Apni Hi Ek Kahani,
Mayusi Ka Mausam Zindagi Mein Kuch Is Tara Se Cha Gaya
Ke Dil Mein Chupa Maut Ka Arman Woh Jaga Gaya
Kushiyon Ko Ruksat Kiya Humne Ansoon Ki Doli Mein
Kamoshi Aur Tanhyi Jaise Saathioyn Se Woh Mila Gaya
Teri Dosti Ka Aaj Humne Acha Sila Dekh Liya
Bikhre The Hum Aur Tune Aur Bikher Diya
Dukhate The Jo Dil Humara Door Kade Hokar
Us Beedh Me Tune Aaj Khud Ko Bhi Shamil Kar Liya
Jo Subhesham Acha Khana Bana Ke Khilaye
Par Phir Bhi Usko Koi Na Kahe Kabhi Bawarchi
Biwi Jo Kahe Woh Uski Har Baat Mane
Aur Ser Juka Kar Kahe Humesha Haan Ji
Tume Dil Mein Chupa Kar,
Tume Sansoon Me Basa Kar,
Tumhe Bahut Pyar Karte Hai Hum
Na Door Door Jao Sanam,