Wo Nazar Ka Kamaal Tha Kuch,
Warna Ye Dil Behekta Nahi,
Shaam-E-Musafir Karta Kaha,
Maikhane Mein Peeta Nahi,
Umra E Ishq Naadani Mein Guzar Gayi,
Kya Thi Woh Mussarat Ke Dekhne Mein Nikal Gayi,
Yun Zamaana Toh Har Waqt Dil Ke Kareeb Tha,
Na Jaane Kyun ” Masroor ” Dariye Se Leher Khisak Gayi,
Yun Mera Waqt Bhi Aaj Mujhse Milta Nahin,
Manzil Takraye Roz Dariya Hilta Nahin,
Kya Khwaish Karun Peene Ki Yahan Koi Intezaam Hai Kaha,
Zikr Karun “Masroor” Ka Maikhana Band Hota Nahin,
Yun Zamaane Se Koi Shikayat Na Thi,
Kya Kahu Khuda Ke Ishq Ka Rang Kaisa Tha,
Faasle Yun Apno Se Kab Ke Toot Chuke The,
Thi Woh Mere Paas He Phir Woh Rishta Kaisa Tha,
Mein Kiss Kaatil Ke Haathon Mein Apne Aap Ko Somp Do,
Yaha Toh Ek Se Badh Kar Ek Bewafaa Nazar Aate Hain…
By Masroor
Jise Peene Ka Salika Na Tha,
Usse Jaam Diya Gaya Hai,
Jise Wafaa Se Fursat Na Mili,
” Masroor” Usse Zeher Diya Gaya Hai.
By Masroor
Raaston Ka Ujjala Aaj Kaha Kho Gaya,
Na Dikha Woh Taara ” Masroor”,
Aaj Mera Chand Roh Gaya.
By Masroor
Zindagi Jeete Bhi Toh Kya Jeete Ke Jab,
Mili Zindagi Toh Maut Maangte The,
Is Kadar Koi Shikayat Nahin Thi Usse Ke Jab,
Aayi Maut ‘ Masroor’ Toh Zindagi Maangte The.
By Masroor
Tumhare Chehre Ki Aahat Pe Marte Hai Logon,
Tumhare Chehre Ki Muskaan Se Jeete Hai Logon,
Yeh Ada Hai Ya Husn ‘Masroor’,
Ke Maut Aane Se Bhi Na Marte Hai Logon,