Tamannayen To Bahut Hai Is Dil Mein, Bas Muraad Ek Hi Hai,
Teri Baahon Mein Kate Har Pal Mera, Dua Khuda Se Ek Hi Hai
Har Ek Lafz Tera Likha Mujhko, Khwaabon Sa Bas Lagta Hai,
Teri Baahon Me Bikharne Ki Sanam, Khwaaish Meri Ek Hi Hai.
Tanhaai Thi Zindgi Me, Aur Koi Manzil Na Thi,
Koi Humse Bhi Pyar Karta, Aise Kismat Na Thi.
Udaas Tha Main Apni Is Akeli Tanha Zindgi Se,
Mar-Mar Ke Jee Raha Tha, Is Akele Pan Se
Tadpa Jati Hain Aksar Unki Yeh Jhukti Hui Aankhen,
Jab Uth-Ti Hain Yeh Aankhen To Yahi Dua Ban Jati Hain.
Yeh Unki Di Hui Ishq-E-Tadap Hai, Ya Unki Hai Dua,
Jo Raaton Ko Jagne Ki Vazah Ban Jaati Hai.
Unki Is Chahat Me Tadap-Tadap Ke Jee Rahe Hain,
Ya Unhi Ki Dua Ke Asar Se Aaj Saanse Le Rahe Hain.
Yahi Sochte-Sochte Bas Raat Se Subah Ho Jaati Hai,
Jo Raaton Ko Jagne Ki Vazah Ban Jaati Hai.
Ek To Unka Haseen Chehra, Us Par Kaali Zulfon Ke Pehra,
Wo Palkon Ki Chilman Aur Aankhon Ka Kaajal Gehra.
Ek Nazar Bhar Jo Dekh Le To Kayamat Ho Jaati Hai,
Jo Raaton Ko Jagne Ki Vazah Ban Jaati Hai.
Tanhaai Me Ruswa Akele Yaadon Me Dooba Rahata Hoon
Khud Se Hi Sharminda Hoon Khud Par Rota Rahata Hoon
Dard Mohabbat Ka Deke Tujhe Kaise Jee Raha Hoon Main
Bas Soch Ke Yehi Kismat Ko Apni Pal-Pal Kosta Rahata Hoon
Kal Sham Se Ek Paigam Ne Humko Bahut Sataya Hai
Mere Sanam Ne Khud Apni Shadi Ka Paigam Jo Bhijwaya Hai
Khwab Mere Khwab Ban Kar Hi Raha Gaye Meri Aakhon Main
Aangan Ko Ashqon Se Humne Apne Bahut Sajaya Hai
Main Har Us Cheez Se Jalta Hoon,
Jo Chhooti Hai Meri Mohabbat Ko
Jalta Hoon Main Us Pani Se,
Jo Sar Se Kadmo Tak Unko Bhigota Hai,
Kaha Gai Ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar,
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe
Aaina-E-Dil Me Tasveer Rahati Hai Teri Hi E-Humnasheen,
Jo Sochti Hoon Khat Likhne Ki, Gazal Likh Jaati Hoon Tujhpe