Haqeekat Hai Jahan Ya Koi Fasana Hai
Kabhi Lagta Hai Apna Sa Kabhi Lagta Begana Hai
Har Koi Hai Choor Guroor Apna Buland Karne Me
Aur Kehta Hai Unchiyon Ko Khak Me Mil Jana Hai.
Hans Rahi Hai Bewafa Mujhko Rula Dene Ke Baad,
Chain Ussko Aaj Aaya Dil Jala Dene Ke Baad,
Bereham Ne Khilkhila Ke Dor Yaaron Kaat Di,
Patang Woh Mere Pyar Ki Amber Se Mila Dene Ke Baad,
Deewana Mujhe Banakar Chhod Jane Wale
Jaldi Laut Aa Tu Jaldi Laut Aa Tu
Tumhare Hi Dum Se Tha Ghar Mein Ujala
Bina Tere Rang Meri Subah Ka Bhi Kala
Chamak Nahi Thi Raton Mein Din Bhi Kale Kale The
Jitni Door Tum The Mujse Utni Door Ujale The
Apne Khali Ghar Me Hamdam Jab Main Tanha Rehta Tha
Farsh Pe Dhool Jami Rehti Thi Deewaron Par Jale The
Latifa Na Koi Tarana Hu Main
Sune Kaun Mujhko Deewana Hu Main
Jee Bharke Laugon Ne Loota Mujhe
Ab Yaro Khali Khazana Hu Main