Jalti Hai Shabnam Door Kahin
Ehsaas Hai Lekin Dekhai Nahi Deti
Umeed Ki Low Bhi Fardfadati Hai
Aor Dil Ki Dhadkan Bhi Sunai Nahi Deti
Tanha Hai Har Sham Meri
Tujhe Chu Liya Honthon Se Toh Burra Kya Hai
Pass Nahi Mere Meri “Manasi”
Tujh Mein Phir Doob Liiye Toh Burra Kya Hai
Kyun Dard Ka Tohfa Hum Tujhse Paate Hain
Har Bar Tujhse Zaleel Hone Chale Aate Hain
Umeed Kar Lete Hain Ki Shayad Koi Dawa Mile
Aor Tujhse Zakhmo Ke Liye Namak Hi Pate Hain
Lamha Lamha Yeh Dard
Nas Nas Mein Utarta Jaye
Kyun Waqt Nahi Mere Liye
Soch Soch Yeh Dil Ghabraye
Kabhi Toh Mujh Par Apna Haq Jatao
Takraar Mein Hi Chahe Tum Yeh Kaho
Par Kabhi Toh Mujhe Apna Batao
Kayun Ajj Ankhein Badli Badli Si Hain Tumhari
Yeh Dard Ka Silsila Ab Saha Kayun Nahi Jata
Tere Bagair Mujhse Jiya Kayun Nahi Jata
Har Pal Ke Sath Ek Kash-M-Kash Di Hai Tumne
Chah Kar Bhi Umeed Ka Diya Bhuj Kayun Nahi Jata
Kuch Toh Karo Humse Koi Baat
Dil Kahin Aur Lag Jaye,Mumkin Nahi
Karo Phir Humse Ek Toh Mulakaat
Dard-E-Judai Ab Sehna Mumkin Nahi