Koshishen Harchand Kii Iss Dil Ko Behlaayaa Bahut
Bhuulnaa Chahaa Magar Wo Shakhs Yaad Aayaa Bahut
Kar Ke Aankhen Band Zaalim Vaar To Kartaa Gayaa
Dekh Kar Lekin Mere Zakhmon Ko Ghabraayaa Bahut
Shakhs Wo Mehboob Sa Jab Se Beigaana Ho Gaya
Saaghar-O-Meena Se Apna Dostaana Ho Gaya
Jo Kabhi Rehtaa Tha Aankhoin Mein Khwaabon Kii Tarah
Usko Dekhe Dosto Ab Ik Zamaana Ho Gaya
Mile Na Jo Mehnat Se Do Bhee Nivaale
Roya Main Dekh Apne Haathon Ke Chhalle
Karein Bhee Gilaa Ab To Kis Se Karein
Humhiin Ne To Saanp Aasteenon Mein Paale
Uske Haathon Mein Mehndi Lagaai Jaayegi
Uske Maathe Pe Bindiya Sajaai Jaayegi
Kajle Ke Dhaar Palkon Mein Lagaali Jaayegi
Reshmi Zulfon Mein Chandni Bikhraai Jaayegi
Mere Paas Kab Woh Aaye
Dil Se Dil Milaaye
Mere Hosh Kab Udaaye
Mujhe Yaad Nahin
Gam Se Aangan Sajaa Rakha Hai Maine
Teri Yaadon Se Ghar Basaa Rakha Hai Maine
Kisi Ko Muskuraate Dekh Main Ro Padta Hoon
Dil Ka Ye Maahaul Banaa Rakha Hai Maine
Nijaat Qaid-E-Gham Se Mujhko Dilaa De Saaqi
Main Haath Jodta Huun Zahar Pilaa De Saaqi
Tere Dar Pe Main Badii Aas Liye Aayaa Huun
Ashk Aankhon Mein Hain Tuuta Hua Dil Laya Huun
Apne Nishane Pe Aitbar Rakhte Hain
Woh Ik Teer Hamesha Taiyaar Rakhte Hain
Koi Dawaa Unpe Asar Nahin Karti
Seene Mein Jo Dil Bimaar Rakhte Hain
Kasam Tumhari Jab Tumse Judaa Huii
Bahot Royii Bahot Main Gamzadaa Huii
Be-Dilii Se Toriin Maine Chuuriyan
Har Shingaar Se Main Youn Khafa Huii
Khushbu-E-Fizaa Ka Humvaar Ho Ke Jaaye
Vo Jaaye To Mausam-E-Bahaar Ho Ke Jaaye
Na Poochh Mujhse Ab Kaise Jeungaa Main..?
Nahin Main Chahta Tu Ashkbaar Ho Ke Jaaye