Aaj Ai Dil Lab-O-Rukhasaar Ki Baate.N Hai Sahi
Vaqt Kat Jayega Kuch Pyaar Ki Baate.N Hi Sahi
Yu.N To Katati Hi Rahegi Gam-E-Dauraa.N Me.N Hayaat
Aaj Kii Raat Gam-E-Yaar Kii Baate.N Hi Sahi
Zindaa Rahane Ki Kabhi To Ko_ii Surat Nikale
Isharat-E-Aalam-E-Didaar Ki Baate.N Hi Sahi
Ko_ii To Baat Chhede Aaj Bahut Ji Hai Udaas
Kam Se Kam Rahamat-E-Agyaar Ki Baate.N Hi Sahi
Is Naye Saal Ki Pehli Subah,
Jab Tumhare Nain Khulen,
Is Naye Saal Ki Pehli Ghadi,
Jab Tumhare Hath Uthen,
Is Naye Saal Ki Pehli Khushi,
Jab Tumhare Gale Lage,
Is Naye Saal Ki Pehli Soch,
Jo Tumhare Jeevan Mein Nikhaar Laye,
Daikha Nahi Hai Usko Magar Jaanti Hun Main,
Kadmon Ki Aahaton Se Pehchaanti Hun Main,
Aa Aa Ke Basta Rehta Hai Khwaabon Mein Wo Mere,
Shaamil Hai Meri Jaat Mein Haan Maanti Hun Main,
Chalo Aaj Rasm-E-Mohabbat Kuch Yun Nibha Di Jaaye ,
Dil Ki Baat Aaj To In Labo Se Ki Jaaye
Likh Do Tum Apna Naam Mere Gore Badan Per Apni Ungaliyon Se ,
Aaj Kyu Na Ek Nayi Shararat Ki Jaaye
Main Mohabbat Hun,
Dhadkano Me Basti Hun
Khayalon Me Sajti Hun
Kabhi Baadal Ban Amber Se,
Kabhi Jaam Ban Paimano Se Chalakti Hun!
Ruh Ka Milap Hun
Sharm Hun, Lihaaf Hun
Kabhi Deh Ki Agan Hun
Parwana:-
Aye Shama Tuje Itana Kis Baat Ka Gurur Hai
Na Jaane Kitane Paravane Tuj Tak Aate Aate Jal Gaye
Shama:-
Aye Parawane Apne Ek Din Ki Jalan Pe Naaz Na Kar
Saari Umra Jalna Mere Nasib Me Likha Hai
Mujse Fir Wo Judaa Na Ho Jaye,
Zindagi Ye Meri Be-Mazaa Na Ho Jaye,
Aaj Mausam Bahut Haseen Hai Yaaro,
Kahi Mujse Koi Khataa Na Ho Jaye,
Majboor Ye Haalaat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi,
Tanhai Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi,
Kehneko Bahut Kuch Hai Magar Kis Se Kahe Hum,
Kub Tak Yuhi Khamosh Rahe,Aur Sahe Hum,
Main Pal Pal Marti Rahi Wo Lamha Lamha Jee Gaya,
Kitna Pyaasa Tha Ek Ghum, Mujhe Todkar Pee Gaya,
Kalam Rafta Rafta Toot_ti Ja Rahi Hai,
Dard Mila Kuch Aisa Jo Lafzon Ko See Gaya,
Khamosh Hai Ye Manzar, Khamosh Hi Raat Hai,
Khamosh Hai Badal, Kahmosh Hi Barsaat Hai,
Kabhi Intezaar Bhi Shor Machaya Karte The,
Fir Aaj Kyo Khamosh Ye Humari Mulaqat Hai,
Kya Kahu Ki Tujhe Kitna Yaad Karti Hu,
Tera Naam Lekar Hi To Me Jaam Bharti Hu,
Aaj Bhi Jaati Us Jagah, Jaha Kabhi Saath Baithe The,
Ab Yaado Me Muskurati Hu, Fir Ro-Ro Kar Marti Hu,