Ankon Mein Ansu De Gaye Ho
Zinda Lash Hoon Yeh Kah Gaye Ho.
Daishiyat Mein Thi Zindgi Meri.
Uss Se Bhi Badhtar Keh Gaye Ho
Yeh Toh Bass Sabka Apna Apna Hee Naseeb Hai
Kay Aaj Meraa Pyaar Kisi Aur Kay Kareeb Hai
Chaahat Mein Mere Kabhi Koyi Kamee Naa Thi
Bas Uski Nazar Mein Merii Deewaangi Ajeeb Hai
Chalta Agar Bas Naseeb Par
To Unhein Jaane Hii Naa Diya Hota
Khamooshi Kii Cheekhein Kabhi Humein Satayein
Aisa Mauka Hii Naa Aane Diya Hota
Ashkn Ki Bhee Hai Kimat
Inki Awaaj Ko Samjho,
Her Dard Ke Ye Dasthaan Hai
Yaaro Iske Awaaj Ko Samjho.
Kisse Batayien Kitna Dard Hai Humne Paaya,
Badi Hi Khushi Se Humne Ghum Ko Gale Lagaya,
Jisko Apna Samjha Usse Ne Toh Thukraya,
Rukh Tufaan Ka Na Ho Unki Manzil Ki Taraf,
Isliye Saare Hadsoon Ko Apne Ghar Ka Pata Bataya
Jaan De Di Hume Unki Raho Main
Kahty Hai Wo Kii Rasta Bhii Kisi Se Safa Naa Hua!!!
Socha Tha Mar Kar Hii Shayad Kuchh Unse Pa Sake Hum
Dekhty Wo Hamari Lash Ko, Itna Bhi Unhe Gawara Na Hua!!
Ik Benam Sakon Ka Sa Guman Hota Hai
Jab Bhi Aankhon Sey Koi Ashk Rawan Hota Hai
Aisey Hi Bazm-E-Sukhan Mein Nahi Meri Aamad
Aag Lagti Hai To Basti Mein Dhuwan Hota Hai
Kahan Aye Dost Chalte Jha Rahe Ho
Bohut Aage Nikalte Jaa Rahe Ho
Chale Jao Magar Yeh To Bata Do
Yeh Raaste Kyu Badalte Ja Rahe Ho?
Yaad Rehta Nahi Kuch Bhi Yaad Kiye Bina
Yaadon Mein Khokar Jeene Ke Sahare Chale Gaye
Gham Bhi Gaya, Khushiyan Bhi Gaye
Ek Ek Karke Sab Yaar Chale Gaye
Tanhai Mujhe Dasne Lagi
Dil Ko Mere Chhalne Lagi
Raat Ke Kaale Saaye Hai
Zindagi Meri Bikharne Lagi
Uff Ye Dardnaak Sannate
Dil Ko Mere Kasne Lage
Teri Yaad Ki Chadar Odhe
Tanhaai Meri Simatne Lagi