Aao Chalo Aaj, Hum Mil Ke Ye Gaayein
Janmon Ke Aapne Pyaar Ko, Kuch Aur Badhayein
Apne Kasam Ko Aaj, Apne Sukhan Ko Aaj
Aao Mere Hamnafas, Issey Mil Ke Dohrayein
Pyaar Ko Bhoolna, Kahan Mumkin Hai
Zakhm Nasoor Na Bane, Kahan Mumkin Hai
Sabra Karne Ko Kehte Ho, Kahan Mumkin Hai
Aah Dil Se Na Nikle , Ye Kahan Mumkin Hai
Ek Halchal Si Machi Aaj Dil Mein Mere
Aap Aaye Janaab Mehfil Mein Mere
Jal Uthe Aaftaab, Bajne Lage Hain Dil Ke Taar
Jhoom Ke Naach Uthi Aaj Vasla Ki Bahaar
Ye Kaisi Saza Di Tune Aai Yarab
Zindagi Bhar Ko Mohtaaj Saath Ke Yarab
Zindagi Saath Jeene Ka Gar Hai Naam
Kis Tarah Hum Isey Jeeyein Yarab
Ye Gali Aur Ye Ghar Aaj Sooney Pade Hain
Kabhi Is Jagah Par Larajte The Do Dil
Kabhi Peepal Ke Paidon Par Koyal Ki Koon-Koon
Kabhi Garmiyon Mein Aam Ke Paidon Ki Khushboo
Dilbar Mere Kyun Dooj Ke Chaand Hue Jaate Ho
Roz-Dar-Roz Kyun Naya Khwaab Diye Jaate Ho
Sirf Khwaabon Se Khud Ko Tasalli Dein Kaise
Kyun Na Kuch Din Ke Liye Mere Hue Jaate Ho