Jis Shakl Mein Bhi Husn Ki Wehdat Dikhai De
Us Mein Dawam Ki Koi Surat Dikhai De
Jis Ne Tumhare Husn Ko Wehdat Ata Kari
Mujh Ko Kabhi Aye Kaash Wo Qudrat Dikhai De
Mujhe Phir Yaad Aate Hai.N Mere Bichre Hue Saathi
Lahoo Mujh Ko Rulate Hai.N Mere Bichre Hue Saathi
Mere Takleef Se Hoti The Un Ko Jo Pareshaani
Usi Ke Yaad Laate Hai.N Mere Bichre Hue Saathi
Ek Ustaad The Apne Jo Kaha Karte The
Main Kashi Aam Thi Sab Log Piya Kerte The
Baith Jate The Sar-E-Shaam Se Mein Khanon Mein
Aur Phir Der Tak Pete He Raha Kerte The
Chuta Junoon Se Pecha Khuda Khuda Ker Ke
Thikaane Hosh Ye Aaya Khuda Khuda Ker Ke
Taweel Rooz Jo Hayal Tha Wasl Main Tere
Taweel Rooz Wo Guzra Khuda Khuda Ker Ke
Chale To Saath Ager Saath Aasmaan Chale
Qadam Ke Saath Mila Ker Qadam Jahan Chale
Ager Tu Sair Ko Nikle Kabhi Gulistaan Ke
To Sir Jhuka Ke Tere Saath Gulsitaan Chale
Loh-E-Jahan Pe Naqsh Hue The Hazar Lafz
Likhne Ka Lafz Lafz Ke Per Dhang Aur Tha
Auraq Zindagi Ke Mere Saamna The Aaj
The Naqsh Mukhtalif Tu Kahin Rang Aur Tha
Taroon Ki Sej Per Kahin Soota Ho Jaise Chand
Shab Ki Rida Ko Orhd Ker Leta Ho Jaise Chand
Malboos Tera Dekh Ker Lagta Hai Is Tarah
Resham Mein Raat Ke Kahin Lipta Ho Jaise Chand
Kab Dil Ko Hum Ne Waqf-E-Tamanna Na Kiya Tha
Tab Se Kiya Tha Jab Shuroo Chalna Na Kiya Tha
Jaise Kiya Hai Haalat-E-Dil Ko Mere Kharaab
Ye Haal Tu Ne Ishq Kisi Ka Na Kiya Tha
Noor Ko Zulmat-E-Shab Shab Ko Charaaghaan Bolain
Aur Ji Chahe To Zarre Ko Bayabaan Bolain
Laal-O-Gohar Ko Kabhi Sang-E-Faro Maya Kahain
Aam Pather Ko Kabhi Laal-E-0badakhshaan Bolain
Sitam Ke Baad Ab Ik Aur Hai Sitam Aage
Ye Dekhiye Ke Hai Saaman Kiya Baham Aage
Yaqeen Ki Had Mein Ager Hal Ye Maamala Hota
Yaqeen Ki Had Se Guzarta Na Ye Qadam Aage