Waqt Ne Bohut Kuch Hai Badal Diya
Ab Aur Kya Badalne Ko Baaki Yaar Reh Gaya
Wo Rahe Mashroof Duniya Ke Sang
Mera Aashiyana Khaali Yaar Reh Gaya
Har Gum Mita Deti Hoon Teri Dosti Mein
Main Sab Kuch Bhula Bethi Hoon Teri Dosti Mein
Na Din Ki Khabar Hai Hame Na Khauf Andhiyaron Ka
Har Khauf Dil Se Mita Rakha Hai Teri Dosti Mein
Karvat Badal Badal Kar Gujarti Hain Raatein
Jaise Fir Baadlon Mein Koi Hal Chal Hui Ho
Jaane Kyu Raaton Ko Neend Aati Nahi Ab
Jaise Andheron Ki Koi Shararat Hui Ho
Ham Use Bhul Jaana Chahte Hain
Har Gam Se Ab Aajad Ho Jaana Chahte Hain
Kaise Karein Ham Apni Ruhh Ko Unki Yaadon Se Aazad
Unki Yaadon Ko Ham Dil Se Mitana Chahte Hain
Yu Hi Basar Hoti Rahi Hai Zindgi
Kabhi Hasti To Kabhi Roti Rahi Hai Zindgi
Kaun Apna Kaun Paraya Kiski Karein Parwaah
Kabhi Koi Bichde To Kabhi Kisi Se Milti Rahi Hai Zindgi
Wo Jo Bhula Deta To Iska Koi Gam Na Tha
Gila To Is Baat Ka Hai Ki Usne Najron Se Gira Diya
Apna Samjha Tha Use Bas Yahi Meri Bhul Rahi
Meri Har Chaht Ko Usne Thukra Diya
Sitamgar Hain Bohut Jamaane Mei
Jakhmo Ki Koi Kami Nahi
Fir Kyu Tu Bhi Deta Hai Hame Dard
Meri Zindgi Mei Dard Ki Kami Nahi
Roz Hoti Hai Yu To Mulaakatein Sabse
Par Koi Na Jaane Tujhsa Lagta Hi Nahi
Jaante Hain Nahi Hai Tu Haathon Ki Lakeeron Mei
Shayad Khuda Ko Bhi Meri Khushi Raas Nahi
Us Roz Bhi Ek Kayamat Hogi
Jis Roz Uski Bhi Meri Jaisi Haalat Hogi
Tadpega Wo Bhi Kisi Roz Kisi Se Milne K Liye
Jis Roz Use Bhi Kisi Se Mohabbathogi
Mohobbat Ki Raaho Me Kadam Dar Kadam Ladkhada Rahe Hain
Fir Bhi Dekho Ham Muskura Rahe Hain
Dekhne Wale Kehte Hain Hamse Ki Ham Kitne Khush Hain
Naadan Hain Wo Jo Nahi Jaante Ham To Bas Apna Gam Chupa Rahe Hain
Wo Tha Paas To Jaise Jannat Sa Mujhe Ye Jahan Lagta Tha
Par Ab Sirf Ham Tanhaiyon Se Hi Dil Ko Behla Rahe Hain
Duniya Ki Bheed Mei Hamne Hamesha Khud Ko Tanha Hi Paya
Isliye Chand Sang Aap Beeti Suna Rahe Hain
Duniya Ki Bheed Mein Na Akela Chod Jana Mujhe
Ho Sake To Apne Saath Le Jaana Mujhe
Chod Jaaoge Jo Mujhe Tum Tanha To Dhundhoge
Kahi Aur Na Sahi To Apne Dil Mein Chipa Le Jaana Mujhe