Nazar Se Nazar Kii Mulaaqaat Baaki Hain,
Ruk Jaao Kii Abhi Poori Raat Baaki Hain,
Apni Baat Keh Ker Kyun Chal Diye Janaab!
Baitho Kii Abhi Meri Bhii Baat Baaki Hain,
Chaahe Tu Ba-Wafaa Ho,Chahe Tu Bewafaa Ho,
Mujhse Bichhad Kuch Aise,Ke Phir Na Saamna Ho,
Ye Kis Nazar Se Dekha Tere Sheher Ne Mujhko,
Jaise Ki Mere Haathon Koi Qatl Ho Gaya Ho,
Tujhe Apne Dil Ke Kisi Kone Mein Chhupaa Lun,
Aye Yaar! Chalaa Aa Tujhe Main Apna Banaa Lun,
Koi Chhoo Bhii Naa Sake Teri Parchaai Ae Sanam,
Kuchh Aise Main Khud Tujhko Tujhse Churaa Lun,
Aaj Mujhe Pyaar Kii Hadh Se Guzar Jaane Do,
Adhmari Ho Hii Chuki Hoon,Poori Tarah Mar Jaane Do,
Karti Rahi Wafaayein Main Uski Jafaaon Ke Badle Bhi,
Aaj Yaaro Us Bewafaa Ka Dil Dukhakar Jaane Do,
When The Night Is Dark & The Moon Is High,
I Sit By My Window And Often Sigh,
Ur Absence Always Pinches Me,
I Gaze Up The Moon And Often See,
Kab Tak Sunoge Yaaro,Is Dil Mein Taraane Bahut Hain,
Saath Jeekar Dekho,Jeene Ke Bahaane Bahut Hain,
Pehle Kabhi Duniya Pyaar Or Vishwaas Par Tika Karti Thii,
Aaj Pyaar Ke Kam,Eent-Patthar Ke Aashiyaane Bahut Hain,
Dard Kaa Jindagi Pe Asar Bhii Ajeeb Hain,
Dilon Se Khelne Kaa Hunar Bhii Ajeeb Hain,
Saaya Ban Jaati Hain Chhodti Hii Nahin,
Saanson Pe Yaadon Kaa Qahar Bhii Ajeeb Hain,
Chaaron Peher Hain Gam Kaa Pehraa Mere Ghar Mein,
Hote Hain Haadse Bhee Kya-Kya Mere Ghar Mein,
Kehne Ko Zarre-Zarre Pe Naam Hain Mera,
Kehne Ko Kuch Nahi Hain Mera Mere Ghar Mein,
Kisi Ranjish Ka Jaise Silsilaa Maalum Hotaa Hai
Ke Wo Mujhsa Hai Phir Bhi Dusraa Maalum Hotaa Hai
Kahaan Se Laaye Ho Andaaz Itne Muskuraane Ke?
Tumhaara Dil Mujhe Tuta Huaa Maalum Hotaa Hai
Mere Haal Pe Yu.N Na Muskuraa Mujhe Is Sazaa Ka Alam Nahii.N,
Terii Rukhsatii Pe Ae Jaan-E-Jaa.N Mujhe Gham Yahii Hai Ki Gham Nahii.N,
Merii Bandagii Ki Binaah Pe Tujhe Paa Sakuu.N Ye Khayaal Hai,
Mujhe Aetbaar-O-Yaqeen Hai,Ye Gumaa.N Nahii.N,Ye Bharam Nahii.N,