Bahut Machli Fida-E-Aarzoo Tujh Per,
Tere Mathe Ki Shikan Kanoo Ka Jhumer,
Dolti Ankhon Mein Bhara Siyah Kajal,
Jaise Muthi Mein Bhar Liya Sara Badal,
Nazre Churane Fir Chupke Se Milane Ki Ada Pe Mar Gaye,
Jhuki To Nazakte Haya Uthi To Us Dua Pe Mar Gaye,
Sham-e-Tanhayi Mein Gumsum, Gamzada Sa Mahol Tha,
Suniye Ji Bheed Se Aayi Sehmi Si Nida Pe Mar Gaye,
Rokne Se Ye Be-Baag Zamana Rukta Nahi,
Chalta Tera Mera Afsana Rukta Nahi,
Teri Arazo-E-Kasam Mein Muyasisar Hun,
Thamta Hai Dil, Par Bahana Rukta Nahi,
Mere Daaman Ko Chhu Ke Teri Ruh Firoza To Nahi,
Halke Se Behke Hain Na Kabil-E-Jaza To Nahi,
Viraasat Mein Paayi Hai Ulfat-E-Tishnagi,
Pa Ke Tujhe Kho Du Hargiz Ye Iqhteza To Nahi,
Manzil-E-Aahaid Pe Ye Thehri Raahein Bhi Mudhne Lagi,
Jasba-E-Junoon Ki Har Patthar Ki Taseer Bhi Pighalne Lagi,
Aahaid – Determinataion
Taseer – Attribute
Mere Kirdaar Mein Teri Jhalak Nahi Milti,
Har Aabdaar Mein Suraj Si Ramak Nahi Milti,
Be-His Hoa Zindagi Ki Nida Mein Iss Tarah,
Mere Pardahdaar Ki Payal Ki Khanak Nahi Milti,
Phir Kisi Ka Pyaam Aa Raha Hai,
Zuban Pe Bhula Naam Aa Raha Hai,
Dhadhkane Ruki Si Saansein Thami Si,
Purani Ghazal Ka Ek Kalaam Aa Raha Hai,
Mohabbat Ko Mohabbat Naafir Tere Bina,
Sikander Bhi Na Paayedaar Zaafir Tere Bina,
Teri Hi Nazakte Aaraayish Mein Doobi Ye Haya,
Ye Haya Bhi Ayebdaar Hai Waafir Tere Bina,
In Tooti Saanson Se Ek Aas Jod Aaya,
Bewafa Aitbaar-E-Wafa Ki Chadar Od Aaya,
Josh-E-Mohbbat Mein Na-Katai Lad Khada Ye,
Sakht Halaton Ke Tamaan Talaatum Tod Aaya,