Zamane Mein Har Taraf Dhunwa Nazar Ane Laga
Andheri Ratoon Me Tera Chahera Nazar Ane Laga
Guzaarna Chahata Tha Eak Umar Anderoon Me
Khuli Aank To Assman Pe Aftaab Nazar Ane Laga
Kyoon Kiya Tu Ne Daaga Ye Batade
Meri Mahobbath Ka Khuch To Sila De
Tanhai Ki Aag Me Kahin Mai Jalna Jaun
Aa Zara Mere Ashiyan Ko Bachale
Kyoon Kiya Tu Ne Daaga Ye Batade
Teri Sacha-E- Zamane Ko Dikha De
Mere Zakhmoo Yon Na Hawa De
Maang Raha Hon Kab Se Koi Insaaf Dila Do
Insaanoo Se Nahi Milna Mujhe Ab Insaniyat Ka Pata Do
Agar Dhoond Na Pa-O- Sacha-E- Ko Mujhe Me
To Aoo Meri Sari Kitaben Jala Do
Sharab Pine Me Maza Wo Nahi Hai Jo Teri Bataun Me Tha
Mai Ne Aj Itni Pi Magar Wo Nasha Nahi Jab Mera Hat Tere Hatoon Me Tha
Saqi Pila De Jam Khuch Aisa Mujhe Is Jaam Ke Baad
Ke Naye Uski Yaad Kabhi Is Shaam Ke Baad
Teri Mahobbath Mein Sari Haden Paar Kardonga
Kissi Din Apni Shayari Se Patharon Mein Jaan Bhar Donga
Dedo Insaaf Mujhe Ab Tu Bahetar Hai Warna
Duniya Ko Jalake Shamshaan Kardonga
Chaloo Unhe Bhi Apne Hosle Bata Den
Patharoon Ke Shaher Me Shishe Ka Ghar Bana Den
Sahiloon Pe Kya Jina Dar Dar Ke
Chaloo Kissi Din Samadaroon Me Panha Len
Mere Sar Pe Meri Maa Ki Duvaoon Ka Saya Hoga
Shayad Isiliye Khud Samandaroon Ne Mujhe Doobne Se Bachaya Hoga
Maa Ki Agush Me Laut Aya Hai Beta Fir Se
Shayad Duniya Ne Usse Bahoth Sataya Hoga
Mera Har Zakham Hara Kar Diya Hai
Meri Quddari Duniya Ne Kya Sila Diya Hai
Kal Tak Jisko Deta Tha Qairaath Mai
Ajj Ussi Shaqs Ne Mere Haat Me Kasa Diya Hai
Ye Kiss Janib Zamane Ne Ungli Utthai Hai
Ye Wo Shaqs Hai Jisne Qaribi Me Baadshahath Baati Hai
Ab Uski Saqawath Ki Kya Misaal Doge
Baatke Ujale Jisne Andheroon Me Zindagi Kati Hai
Kaliyoon Pe Jaise Gulaboon Ka Noor Hai
Mera Maheboob Chash-Me-Baddoor Hai
Fursath Se Tarasa Jism Tera Chahera Ba Noor Hai
Mera Maheboob Chash-Me-Baddor Hai