Kudratt Keharr Pe Hai … Zabarr Pe Hai,
Dharti Walon Ko Sambhalna Chahiye,
Paap Zara Kamm Karna Chahiye,
Varna Kudratt Berehamm Ho Jaya Karti,
Zikr-E-Ulfat Humse Naa Karwaye,
Bahut Mushkil Hai Ye Safar Humen Na Dikhaiye,
Iski Justajoo Mein Lutte Hain Aashiq Bahut Yahan,
Dewaar-O-Darr Ki Thokren Khaane Se To Kahin,
Naa Takht-O-Taaj.. Naa-Ye Zinda Rehne Ki Dua Maangu,
Naa Apni Khushi Naa-Ye Seher Se Koi Ziyaa Maangu,
Maangu To Apne Wattan Ke Liye Subhash Chandra Bose Jesa Phir Se Ik Neta Maangu,
Maangu To Bass Khud Se Aur Apne Wattan Ke Logon Se,
Nasheelii Aankhon Se Haseeno Ne Jo Humen Nihaara Na Hota,
Unke Surkh Hoton Pe Jo Naam Hamara Na Hota,
Doob Na Gaye Hote Chadhti Jawani Mein Hum Jo,
Majhdaar Mein Hamen Haseeno Ne Uttara Na Hota,
Kk Tu Aftaab Ke Taaron Mein Kya Dhoondta Hai?
Dekh Har Shaks Yahan Doosron Mein Wafa Dhoondta Hai,
Karta Nahi Kissi Se Wafadari Phir Bhi Apne Liye Wafadaar Dhoondta Hai,
Har Shaks Yahan Doosron Mein Yakeen Dhoondta Hai,
Kissi Ki Aankhon Mein Poori Duniya Nazar Aaye,
Aur Poori Duniya Mein Bass Ik Wohi Nazar Aaye,
To Samajh Lena Mohabbatt Ho Gayee Hai,
Woh Mohabbatt Jo Ibaadatt Ban Gayee Hai,
Ye Raat Itni Siyaah Kyun Hoti,
Kismat Se Sab Ko Apni Apni, Shikaayat Kyun Hoti,
Ajab Khel Hain Ye Sab Ki Apni Apni Kismat Ke,
Jisse Paa Nahi Sakte, Bass Wohi Khwaish Kyun Hoti… Kyun Hoti…
By K K Singhaa
Waqt Ke Harr Lamhe Mein Apni Hi Hondh Kaa Maainaa Dhoondte Hain,
Khatam Naa Ho Jo Kabhi, Woh Amritt Ka Paimaana Dhoondte Hain,
Hosh Mein To Rehte Hain Din-O-Raatt, Jo Hosh Na Aane De,
Woh Khuda Ka Maikhaana Dhoondte Hain.
By K K Singhaa
Waqtt Ki Jiss Dehleez Pe Khade Ho Aye Dost,
Wahan Fislan To Bahut Hogi,
Kadam Zara Sambhal Ke Uthaana,
Tera Sahi Disha Mein Uthaa Jo Kadam,
To Teri Manzil Tere Karrib Hogi Yakeenan Tujhe Naseeb Hogi.
By K K Singhaa
Insaan Apni Apni Aadat Se Naa Badle,
Prakriti Apne Neeyam Se Naa Badle,
Waqt Badle Waqt Be Waqt Phir Bhi,
Apne Lamhon Se Naa Badle,