Hamari Haalat Suraj Jaisi Hain, Jo Apni Roshni Chhod Nahin Sakta,
Garmi Se Tapta Rehta Hai, Phir Bhi Usase Alag Nahin Reh Sakta
Hamari Haalat Phool Jaisi Hai, Jo Kaanton Se Alag Nahin Ho Sakta,
Kaanton Se Chubta Rehta Hai, Phir Bhi Usase Alag Nahin Reh Sakta
Farishte Banker Aaye Aur Zalim Bankar Chale Gaye
Baadal Banker Aaye Aur Hume Dooba Kar Chale Gaye
Roshni Bankar Aaye Aur Andhera Dekar Chale Gaye,
Jhoothai Sapne Dikhakar Akela Chhodkar Chale Gaye
Jitni Nazdeek Phoolon Se Khusboo Nahin Hain, Utne Nazdeek Gam Mere Dil Se Hain
Jitne Nazdeek Baadal Paani Se Nahin Hain, Utne Nazdeek Gam Mere Dil Se Hain
Jitni Nazdeek Garmi Suraj Ke Nazdeek Nahin Hain, Utne Nazdeek Gam Mere Dil Se Hain
Jitni Nazdee Kashti Paani Se Nahin Hain, Utne Nazdeek Gam Mere Dil Se Hain
Aapka Khawab Nahin Dekhna Chahte, Phir Bhii Aap Chupke Se Aa Jaati Hain,
Aap Bewafa Sahi, Phir Bhi Aapko Band Aankhon Se Dekhna Chahte Hain
Aapka Naam Nahin Lena Chahte, Phir Bhii Zuban Par Apne Aap Aa Jaata Hai,
Woh Naam Badnaam Sahi, Phir Bhi Dil Use Bhula Nahin Sakta Hai
Subah Hote Phulon Ne Bhavre Ko Apna Didar De Diya
Na Jaane Hamari Subah Kab Hogi
Subah Hote Ugte Suraj Ne Jahan Ko Roshan Kar Diya,
Na Jaane Hamari Zindagi Kab Roshan Hogi
Is Dharti Pe Mera Koi Nahi
Aasmaan Tu Mujhe Thodi Si Jagah De De
Mera Naam Lene Wala Koi Nahi
Maut Tu Apna Naam Mere Naam Ke Saath Jod De
Kise Dosh Doon
Aappki Khoobsurati Ko Ya Apne Pagalpan Ko,
Aappke Bholepan Ko Ya Apne Deewanepan Ko
Aapki Baatein Sunane Ki Tammanna, Hume Aaj Bhhi Hoti Hai,
Yeh Baat Aur Hai, Mere Saamne Aap Kisi Aur Ki Baatein Karti Hain
Aappki Aankhon Ko Dekhne Ki Tammanna, Hume Aaj Bhi Hoti Hai,
Yeh Baat Aur Hai, Unn Aankhon Mein Kisi Aur Ki Surat Hoti Hai
Aadhi Zindaagi Kaanton Pe Chalne Mein Nikal Gayi,
Aur Aadhi Unke Zakhmon Par Marham Lagane Mein
Aadhi Zindaagi Dard Mein Nikal Gayi,
Aur Aadhi Unhen Sharab Se Mitane Mein
Chaand Khud Ko Kab Tak Chupayega, Raat Ko Saamne Aana Hi Hain
Jawani Kab Tak Chupaogi, Ek Din Kisine Le Jana Hi Hain
Nasha Kab Tak Rahega, Hosh Mein Aana Hi Hain
Nazren Kab Tak Jhukaogi, Ek Din Milani Hi Hain