Dard Jo Bhii Thaa Dil Ko
Use Dil Main Hi Daba Liya..
Chipa Kar Har Gum Humse
Humein Dosto Ne Anjaana Bana Diya.
Inhi Pyaari Baaton Main Tumhaari
Saadgi Nazar Aati Hain
Kahti Ho Kuch Is Tarah Har Baat Ki
Sidha Dill Main Utar Jaati Hain
Saath Ye Pal Do Pal Ka Nahi
Saat Janmo Ka Bandhan Hai.
Pyar Mera Koi Shabnam Nahi
Ye To Is Jiwan Ka Samandar Hai
Haath Thaama Jo Tumne Hamaara
Ye Chaahat Is Dill Ko Mehkaane Lagii
Paakar Saath Tumhaara
Khushbu Kaagaz Ke Phulon Se Bhee Aane Lagii
Dhadkanoo Ka Suroor Jo Is Dill Pe Chhaya Hain
Dill Lubhaati Wo Matwaali Nazar
Jisne Mujhe Bhee Deewana Banayaa Hain
Talaashtaa Rahta Hain Ye Man Jise Har Mehfill Main
Surat Dikhti Nahi Wo Jo Chipi Hain Is Dill Main
Mohabbat Ki Sargam Har Deewane Dill Ko Bhayegi
Kya Hua Gar Saath Koi Saaz Nahi Hain
Dekha Nhain Usee Kabhi To Kyaa
Dhadaktaa Hain Jab Bhee Ye Dill
Har Dhadkan Leti Hain Naam Tumhaara
Nazaarein To Kai Dekhti Hain Khubsurat Ye Nazar
Par Chipaa Hotaa Hain Sabmain Aks Tumharaa
Tumhaare Bina Ye Jindagi Veeraani Si Lagti Hain
Kiyaa Hain Kuch Aaisa Aasar Tumne
Ki Dill Aur Nazar Dono Deewani Si Lagti Hain
Kab Se Tarasta Deedar Ko Ab To Paas Aa Jaao
Lafzon Ne Jab Lafzo Se Sharaarat Ki
Teri Meri Prem Kahaani Bhee Kuch Aage Badhi
Haath Thama Jab Sur Ne -Taal Ka
Ek Rishta Ban Gayaa Hamaara Jazbaat Ka
Fizaaon Mein Kushbu Udhne Lagi Chameli Ki
Mehanndi Rang Laayi Hatheli Ki
Aas Paas Rehne Lagi Teri Aankhein
Yaad Aane Lagi Teri Sab Baatein