Tumhare Phool Se Chehre Par Gham Ache Nahi Lagte,
Humain Keh Do Chale Jayen Jo Hum Ache Nahi Lagte.
Humain Wo Zakhm Do Tum Jo Umar Bhar Na Bhar Payen,
Bohat Jaldi Jo Bhar Jayen Zakhm Ache Nahi Lagte.
Jab Hum Bole Ki Jaan De Sakte Hai,
To Vo Bole Ki Hum Mazak Karte Hai,
Jab Hum Sach Me Mar Gye Unke Liye,
To Wo Bole Ki Hum Par To Hazaron Marte Hai.
By Jai Singh Thakur
Wo Barse Na Barse Sawan Hi To Hai,
Jane Kab Sukh Jaye Gulshan Hi To Hai,
Mere Dil Me Rahne Ki Adat Na Dalo,
Jane Kab Ruk Jaye Dhadkan Hi To Hai.
By Jai Singh Thakur
“Maa”Ke Anchal Mein Sone Ka Sukh Agli Pidi Nahi Le Payegi……………
………………………………..
Kyo…………….
Kyoki,,,,,,,,,,
Jeans Pahnne Wali Maa Anchal Kaha Se Layegi.
By Jai Singh Thakur
Bahut Udas Hai Koi Saksh Tere Jane Se,
Ho Sake To Laut Kar A Kisi Bahane Se,
Tum Lakh Khafa Hi Sahi Magar,
Ek Bar To Akar Dekh Koi Tut Gaya Hai Tere Jane Se.
By Jai Singh Thakur
Likho To Paigam Aisa Likho,
Ki Padne Wala Padne Par Majbur Ho Jaye,
Lafzo Mein Wo Dard Bhar Do Ki,
Samne Wala Milne Par Majbur Ho Jaye
By Jai Singh Thakur
Roj Aate Hai Chand Sitare,
Magar Koi Khushi Ka Paigam Nahi Aata,
Hame To Intjar Hai Unke Jawab Ka Par,
Shayad Unhe Hamara Khyal Bhi Nahi Aata “Jai”.
By Jai Singh Thakur
Har Ghunghat Haya Ka Nahi Hota,
Har Utha Hath Dua Ka Nahi Hota,
Bujh Jate Hai Diye Aksar Hamari Hi Galtiyo Se,
Har Bar Kasoor Hawao Ka Nahi Hota
By Jai Singh Thakur
Ik Hunk Si Dil Mein Uthati Hai,
Ik Dard Jigar Mein Hota Hai,
Mein Raat Mein Uthkar Rota Hun,
Jab Sara Alam Sota Hai.
By Jai Singh Thakur
Sirf Do Kadam Dur Kinara Hoga,
Socho Tab Kya Khubsurat Nazara Hoga,
Bas Dil Jo Kahe Use Karna Dimag Se,
Fir Tum Jise Chaho Wo Tumhara Hoga.
By Jai Singh Thakur