Hawaaein Jab Chalti Hain To Mehsoos Use Hi Karta Hoon
Uska Suroor Chaaya Hai Usse Milne Ke Liye Tadapta Hoon
Bechaaini Ka Aalam Na Poocho Kitni Yaad Aati Hai Uski
Paaya To Nahi Maine Use Phir Bhi Khone Se Kyun Darta Hoon
Bhole Basre Mazi Ko Koraidtay Rahay
Tumharee Yaad Main Lamha Ba Lamha Taraptay Rahay
Aik Aik Din Ko Ongleyo Ke Poro Main Gintay Rahay
Kitna Zalim Tha Yeh Saal
Sakon Dil Ka Gawaaya Humne Hasti Apni Mitaayi Humne
Iskadar Dekho Jaanasheen Mohabbat Ki Keemat Chukaayi Humne
Har Ek Se Talookh Tha Apna Har Ek Ko Dosti Pyaari Thi Mujhse
Mohabbat Karke Dekho Ab Sab Se Dushmaani Badhaayi Humne
Hawaa Ghamon Ki Chaai Hai
Aapne Saath Kai Dukh Laai Hai
Mehfil Me Kaise Baithe Hum Dil Thaam Kar
Zindagi Ka Peecha Kar Rahi Tanhaai Hai
Khud Apni Mohabbat Pe Pareshaan Hoon Main
Suno To Ek Dard Bhari Dastaan Hoon Main
Kaise The Kiya Zindagi Ka Safar Na Poocho
Humsafar Na Mila Koi Ek Akela Carwaan Hoon Main
Paali Khushian Tune Mera Dil Jalakar
Bol Kya Tu Jee Sakegi Mujhe Bhoola Kar
Tu Khush Reh Har Pal Teri Khushion Ke Liye Mujhe Gham Se Bhi Pyaar Hai
Bata Ek Pal Ke Liye Bhi Kya Tujhe Mera Intezaar Hai
Ye Pyar Ka Jahan Hai Har Dil Meharbaan Hai,
Kuch Aur Ye Zameen Hai Kuch Aur Asmaan Hai,
Na Zulm Ka Nishaan Hai Na Gahm Ki Dastaan Hai,
Har Koi Kisko Samjhe Wo Pyar Ki Zaaban Hai,
Sarey-Raah Kuchh Bhi Kahaa Nahi Kabhi Uss Kay Ghar Gayaa Nhi
Main Janam Janam Say Usi Kaa Hoon Usay Aaj Takk Pataa Nahi
Usay Paak Nazron Say Choomna Bhi Ibaadaton Mein Shumaar Hai
Koi Phool Laakh Qareeb Ho Kabhi Mainay Usko Chhua Nahi
Ek Hi Baat Zamane Ki Kitabon Mein Nahi,
Jo Gum-E-Judai Mein Nasha Hai Sharabon Mein Nahi,
Husan Ki Bheek Na Mange Ge Na Jalwon Ki Kabhi,
Hum Ashiqon Se Milo Khul Ke Hijabon Mein Nahi.
Mohabbat Karne Ke Baad,
Jaana Hai Zindagi Kitni Haseen Hai,
Unse Dil Lagane Ke Baad,
Jaana Hai Khushi Kitni Haseen Hai