Doob Rahi Hain Meri Kashti, Mujhe Ik Pal Kaa Sahil Chahiye,
Tanha Hain Khauff-E-Mahol Main Kashti, Ab Mujhe Mera Sahil Chahiye,
Ulfat Kee Raah Par Chale The Kabhi, Dhoka Mila Aesa Hans Naa Paayenge Kabhi,
Jab Dil Udas Thaa, Tanha Thaa, Bezaar Thaa,
Id Ka Chand Mere Chand Ne Bhi Dekha Hoga
Us Ghadi Usne Mere Liye Bhi Kuch Socha Hoga
Id K Saath Wabasta Hai Jo Yaade Teri
Meri Har Saans Usi Pal Ki Amanat Thehri
Aaj Unse Humari Aakhiri Mulaqaat Hain,
Aankhon Main Bhare Kuchh Nam Jazbaat Hain,
Dil Iss Kadar Ro Raha Hain Apni Bebasi Par,
Jese Sehra Main Kisi Pyase Ko Pani Kee Talaash Hain,
Shabnami Raat Ho Aur
Har Taraf Andhera Ho
Ek Chadar Mai Lipte Do
Badan Ek Tera Ho Ek Mera Ho
Mere Makhmali Badan Mai,
Khushbu Ke Chaman Mai
Sadiyon Tak Vo Raat Chale,
Sadiyon Dur Savera Ho
Rehne Do Ke Ab Tum Bhi Mujhe Pad Naa Sakoge
Barsaat Mai Kaagaz Ki Tarah Bheeg Gayi Hun
Har Baar Mujhe Todkar Tune E-Khuda
Mujhe Kisi Aur Aas Se Joda
Har Baar Mai Kacche Dhaage Ki Tarah Toot Gayi Hun
Bhool Kar Bhi Na Sochna
Teri Chahten Mere Sang Nahi
Tere Bin Udaas Hai Dil Mera
Meri Zindagi Mai Bacha, Koi Rang Nahi
Ye Khush Nazri Sirf Khush Nazar Aane Ke Liye Hai
Mere Andar Ki Udaasi Chupane Ke Liye Hai
Main Saath Kisi Ke Bhi Nahi Pas Hun Ab Tak Tere
Ye Sab Darbadri Bas Ek Thikane Ke Liye Hai
Duniya Ki Nazron Mein Girna Mere Kis Kaam Aaya
Apno Se Bichad Kar, Voh Bewafa Geron K Kaam Aaya
Main Bhool Chuki Thi Apne Hi Bewafai Karte Hain
Duniya Meri Barbaad Karte, Use Jara Bhi Rehem Na Aaya
Tune Khud Ko Mujh Tak, Badne Se Na Roka
Ab Meri Mohabbat Se Uoon Nafrat Na Kar
Tune Beparda Nigahon Se, Kiye Senkro Sawaal Mujhse
Ab Najro Ko Najro Se Meri, Uoon Tu Churaya Na Kar
Ajab Dil Ki Basti, Ajab Dil Ki Vaadi
Her Ek Mod Mausam Nayi Khushiyon Ka
Lagaye Hain Humne Bhi Sapno Ke Pouddhe
Magar Kya Bharosa Yahan Baarishon Ka