Dosron Ko Hamari Sazaein Na De…
Chandni Raaton Ko Bud`duain Na Dey…
Phool Se Aashiqi Ka Hunar Seekh Le…
Titliyaan Khud Rukein Gi Sadaein Na De…
Titiliyo Ka Wo Mujhe Tuta Hua Per Lagta Hai
Dil Pe Wo Naam Bhi Likhte Hue Dar Lagta Hai
Raat Aayi To Sitaroon Bhari Chadar Taani
Khobsurat Mujhe Suraj Ka Safar Lagta Hai
Gham-E-Ashqi Ne Mara Ho Jaise
Donon Jahan Koi Hara Ho Jaise
Kuch Der Chamak Kar Bhuj Giya Hoon
Toota Huwa Ik Sitara Ho Jaise
Kabhi Haq Baat Keh Dene Ki Himmat Aahi Jaati Hai,
Kisi Din Saamne Khul Kar Haqeeqat Aahi Jaati Hai.
Musibat Be-Vajah Insaan Per Aati Nahi Humdum,
Bure Aamal Ger Ho To Musibat Aahi Jaati Hai.
Mehfilon Ke Darmiyan Tanhaeon Ke Darmiyan,
Zindagi Guzregi Kab Tak Vahimon Ke Darmiyan.
Zindagi Kar Musalsal Hai To Kathi Jayegi,
Chand Yaado Ke Sahare Vehshato Ke Darmiyan.
Rasme Ulfat Ye Ijazat Nahi Deti Hai Warna,
Hum Bhi Tum Ko Aisa Bhoole Ke Sada Yaad Rakho
Usne Dekha Hee Nahi Dard Kaa Aagaz Abhi,
Ishq Ko Apni Tamnnao Pe Hain Naaz Abhi
Barbad-E-Shaher Ko Phir Basayenge,
Khoobsurat Surat, Salaam Surat, Phir Aawaz Lagayenge,
Dar Naa Tu Dastane Surat Ko Dekh Kar,
Ekk Nae Dulhan Kee Tarah Phir Isko Sajayenge
Jab Palke Karb Se Mundi Ho Aur Sab Samjhe Tum Sote Ho,
Tab Munh Per Takiya Rakh Lena Aur Chupke Chupke Ro Lena,
Ye Duniya Zaalim Duniya Hai Ye Baat Bahut Phelayigi,
Tum Saamne Sab Ke Chup Rehna Aur Chupke Chupke Ro Lena,