Tumhara Khatt Mila Jana Wo Jis Main Tumne Poocha Hai
Kay Ab Halaat Kaisay Hain Mere Din Raat Kaisay Hain
Mehrbani Tumhari Hai Ki Tumne Is Tarah Mujhse
Mere Halaat Poochay Hain Mere Din Raat Poochay Hain
Namah Gaye Koyi Na Koyi Namabar Bhi Chala Gaya
Teri Khabar Na Ayi Zamana Guzar Gaya
Mein Yun Hi Guzar Deta Shab-E-Gam Sambhal Sambhal Ke
Tumhe Kya Mila Batao Meri Zindagi Badal Badal Ke
Masoom Mohabbat Ka Bus Itna Fasana Hain,
Kaghaz Ki Haveli Hain Our Barish Ka Zamana Hain,
Kaya Shart-E-Mohabbat Hain, Kaya Shart-E-Zamana Hain,
Awaz Bhi Zakhmi Hain Or Geet Bhi Gaana Hain,
Bichar Ke Mujh Se Ye Mashghala Ikhtiyar Karna
Hava Se Darna Bujhey Chiraghon Se Pyar Karna
Khuli Zameenon Mein Jab Bhi Sarson Ke Phool Mahken
Tum Aisi Rut Mein Sada Mara Intzar Karna
Ek Lamha Lagta Hai
Dil Kisi Pe Aanay Mein
Mujh Ko Bhi Mila Tha Woh
Jis Ko Dekhtey Hi Dil
Betahasha Dharka Tha
Mujh Se Keh Raha Tha Woh
Tum Se Pyar Hai Mujh Ko
Muskura Kay Main Ne Bhi
Uski Jafaaein Uski Ataa Hum Se Poocheyie
Yeh Zindagi Bhi Cheez Hai Kya Hum Se Poochhyie
Is Jang-E-Husn- O-Ishq Kay Asbaab Hain Bahut
Pehley Kidhar Se Teer Chala Hum Se Poochhyie