Haath Phailaye Thay Humne Tumhein Apnaane Ko
Tumne Phaile Hue Haathon Ko Giraftaar Kiya
Itna Aasaan Na Tha Mujh Ko Badalna Lakin
Sabki Nazron Se Giraya Mujhe Bezaar Kiya
Ulfat-E-Kainaat Se Ghira Na Ho To Maza Kya
Dilon Main Pyar Ke Hone Na Hone Ki Raza Kya
Jaan Se Na Jaye To Kya Wo Saccha_pyar
Uff Ya Aah! Na Nikal De To Phir Saza Kya
Baad Mud’dat Ke Phir Sharab Pi Mene
Aaj Phir Waqt Se Cheen Lee Zindgi Miene
Dee Thi Jo Kasam Na Peeney Ki Kissi Ne
Ke Aaj Woh Kasam-E-Waffa Thod Di Meiney
Sulaag Rhe Hai Ishq Ke Shole Zara Aur Hawa Dijiye
Hosh Na Aaye Humey Iss Kadar Nazar Se Pila Dijiye
Machal Rahe Hai Arma.N Jana Mere Bhi Tumhare Bhi
Aiseey Mein Hayaa Ke Parde Hole Se Hatta Dijiye
Aao Maikhaane Chalien Honay Deewaane Chalien
Angoor Ki Betii Ko Dene Nazraane Chalein
Hum They Nadaan Bahut Taubaa Kar Baithe
Ek Kasam Todney Doosri Khaane Chalein
Kisi Khamosh Lamhe Mein
Agar Mein Tum Se Yeh Keh Doon
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
To Tum Yeh Mat Samaj Lena,
Zah-E-Karishma Ki Yon De Rakhaa Hai Hamko Fareb
Ki Bin Kahe Hee Unhain Sab Khabar Hai Kya Kahiye
Samajh Ke Karte Hain Baazaar Mein Woh Pursish-E-Haal
Ki Yeh Kahe Ki Sar-E-Rehguzar Hai Kya Kahiye
Pehle Ye Zindagi Itni Khaas Na Thi
Daulat-E-Ghum Jab Ye Mere Paas Na Thi
Neev Par Rasmon Ki Bane Jo Rishtay
Aise Rishton Mein Kuch Mithaas Na Thi
Humko Apni Zindagi Tab Se Bhali Lagne Lagi
Jab Se Ik Shaitaan Si ( Ki) Larki Pari Lagne Lagi
Zulf Thi Raat, Ankh Us Ke Chandne Lagne Lagi
Uski Khaamoshi Bhi Jaise Shayri Lagne Lagi
Tanhai Jab Mili To Kai Dard Badh Gaye
Ham Say Na Poch Kiyon Akele Se Reh Gae
Duniya Ne Ham Ko Chain Say Jeene Nahi Diya
Kuch Ham Bhi Na Samajhe Thay Ke Jeete Chalay Gae