Agar Dil Gam Se Khali Hai, To Wo Dil, Dil Nahi Hota,
Naa Jis Dil Mein Ho Dard-E-Dil, Mukammal Dil Nahi Hota,
Jo Khud Se Pyaar Karte Hain, Kare Duniya Se Wo Nafarat,
Wo Acchaa Dil Nahi Hota, Mukammal Dil Nahi Hota,
Kesi Maa Hai Ye Meri Mere Khudaa,
Jo Mujhe Etnaa Pyaar Karti Hai,
Uska Dil Mujh Se Kyun Nahi Bharta,
Apni Banhoo Me Rooz Bharti Hai,
Meri Sanson Ko Dedo Ijazat,
Ye Kabhi To Sukun Se Chale,
Meri Hokar Bhi Darkan Hai Teri,
Ye Eshare Pe Tere Chal Lei,
Pyaar Duniya Se Ye Niralaa Hai,
Tujh Ko Es Dil Mein Sirf Palaa Hai,
Rooh Apni Tujhe Samjhte Hai,
Ab Esi Baat Se To Darte Hai,
Tu Judaa Hogayaa To Kya Hoga,
Jaan Kese Rahegi Jism Bager,
Tu Bhi Ye Jaan Mujhe Kitnaa Hai Pyaraa Tu,
Meri Rooh Meri Har Saans Mera Saharaa Hai Tu,
Meri Aankhein Banke Dekhe Khud Ko Kabhi Tu,
Meri Dil Ka Sab Se Pyaara Sirf Sapna Tu,
Khushiyaan Jahaan Ki Qadam Tere Chumein,
Koi Gam Na Aye Kabhi Tujh Ko Chunein,
Zamaane Ki Khushi Tujh Ko Mile Sab,
Sabhi Ki Duaein Qadam Tere Chumein,
Teri Yaadein Hai, Teri Khooshbu Hai,
Mere Har Pal Mein, Tu Hi Tu Hai Sanam,
Tu Hi Socho Mein, Tu Hi Khuwabon Mein,
Dil Ki Dhadkan Mein, Tu To Bastaa Hai,
Dil Tujhe Apne Se Zyada Chahta Hai Sanam,
Dil Dua Mein Sirf Teri Khushi Chahta Hai Sanam,
Gam Tere Mujh Ko Mil Jaye Mere Khuda,
Apni Har Khushi Tere Nam Chahte Hai Sanam,
Dil Tadhapta Thaa, Tadhap Taa Hai, Yun Hi Tere Liye,
Kaash Tujh Ko Bhi Yun Pyaar Sataya Hota,
Bhull Jate Tujhe, Jo Bas Mein Hamaare Hota,
Kaash Ye Dil Mera Tujh Pe Naa Ayaa Hota,
Tu Nahi Hai To Tera Gham Meri Tanhai Hai,
Teri Ek Yaad Hai Jo Mere Dil Ko Bhai Hai,
Ankhi Nam Hai Or Dil Mein Dard Ka Alam,
Honth Si Kar Bhi Ruswai Yan Uthai Hai,