Dhoop Ka Safar Chhav Me Thehar Gaya
Kadam Ke Faasale Rahguzar Se Bichhad Gaya
Wasl-E-Nazar Hui Ek Kali Se Baad-E-Sahar
Dopahar Ko Gul Hua Sham Ko Bikhar Gaya
Wo Apnay Ghar Chala Gya Afsos Mat Karo
Itna Hi Us Ka Sath Tha Afsos Mat Karo
Insan Apnay Aap Mein Majboor Hay Bohat
Koi Nahi Hay Bewafa Afsos Mat Karo
Dost Mera Hai Dost Mera Bhai Se Bhi Badkar,
Iski Khatir Duniya Se Dikhla Doonga Ladkar,
Gar Koi Is Par Pade Mushibat Sun Lo Mere Yaar,
Us Mushibat Se Mein Takrau Banker Ek Pahad,
Mat Do Labo Ki Itni Hasi Ashq Ankhon Mein Lehrate Hai,
Suni Suni Si Palko Pe Gum Kitne Ubhar Aate Hai,
Paya Nahi Kuch Bhi Humne Khona Tumko Nahi Chahate Hai,
Jinhe Maange Hum Duwaon Mein Vo Kyu Hame Nahi Chahate Hai,
Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey
Pathar Ho Muqabil To Thehar Kyun Nahin Jatey
Is Shehar Ke Jugnoon Bhi Chalavay Hain Nazar Ke
Phir Log Sar-E-Shaam Hi Ghar Kyun Nahin Jatey
Mere Dil Ki Ye Khawaish Hai
Tere Dil Me Bass Jao Is Terha
Ki Jab Bhi Tu Mujhy Yaad Karey
Tere Aankho Se Tapko Aansowo Ki Terha