Manzil Ki Talaash Mein, Chal Padaa Hoo Apni Raho Mein
Khwaish Bas Itni Hai, Umra Beete Kisiki Nigaaho Mein
Khuda, Is Mod Pe Na Jaane Kitni Raah Aayengi
Na Jaane Mujhe Kitni Aawaaze Bulaayengi
Umar Beeti Par Na Aayi Ek Chitthi Pyaar Ki
Anyatha Hum Bhi Basate Ek Basti Pyaar Ki
Aandhiyaan Ruswaiyaa Hai Kismat Mein Tanhaiyaa Hai
Kis Tarah Saahil Ko Paaye Ek Kashti Pyaar Ki
Aye Shayari Kya Likhu Mein Tujh Pe Shayari
Aye Shayari Nahi Tujhse Baat Koi Gehri
Tujh Mein Shabdo Ki Lachak Ki Chaal Hai
Tujh Mein Har Lamha Bhi Ek Beeta Hua Saal Hai
Ek Aashique Ne Jab Khuda Se Poocha
Aye Khuda Bata Meri Kya Hai Khata
Kyun Mujhe Mere Pyaar Se Yun Judaa Kiya
Kyun Di Mujhe Ishq-E-Ibaadat Ki Sazaa”
Ke Aapki Naraazgi Bhi Zaayaz Hai
Par Hamari Aashique Bhi Zaayaz Hai
Ke Mere Labo Pe Hassi Aapke Liye Zaayaz Hai
Par Shayad Mere Aasoon Bhi Aapke Liye Zaayaz Hai
Aye Sanam Teri Har Khushi Mein
Mere Wafaa-E-Dil Ka Rang Hai
Mohabbat, Majboori Yaa Meharbaani
Mere Yaar Aaj Tu Kisi Aur Ke Sang Hai
Bohat Dino Se Socha Tha Ke
Kuch Likho Mein Aap Par.
Phir Khayal Aaya .
Ki Kya Likhu Khuli Kitaab Par.
Ke Socha Taseveer Banaoogaa.
Shabdo Se Aapki
Likhne Baitha Jab.
Shabd Hi Na Mile Tareef Mein Aapki.
Aap Jab Bhi Zindagi Ki Khushiyon Mein Gayenge
Hum Bhi Kahin Baithe Aapko Dekh Muskurayenge.
Aapko Khushiyon Mein Khilkhilate Dekh Kar,
Hum Bhi Zindagi Ki Saari Khushiyan Paayenge.