Paas Rehkar Mere Jab Tum Sharma Si Jaati Ho,
Bahon Mein Samet Loon Tumko Aisi Pyas Jagati Ho,
Hausla Bhi Padta Nahi Ke Tum Jaldi Khafa Ho Jaati Ho,
Saath Rahein Har Yoon Hi Tum Aisa Armaa Jagati Ho,
Door Rehne Ka Yeh Mausam Ayaa Kaisa Sanam,
Pass Hi Hai Tere Hum Yeh Bhi Guzar Jaayega,
Guzar Ke Pass Hamein Jab Yeh Sama Laayega,
Dooboge Tum To Magar Humko Bhi Doobaoge,
Humare Dil Ka Haal Hai In Lafzo Mein.
Aapke Liye Jazbaat Hai In Lafzon Mein
Tanha Raatoin Ki Khamoshi Hai In Lafzo Mein,
Tere Aahat Ki Ek Aas Chupi Hai In Lafzo Mein.
Fursatt Ke Din Raat Ho,
Tera Mera Saath Ho,
Haathon Mein Tera Haath Ho,
Saanson Ka Shor Sath Ho,
Narm Hothon Ke Aaj Une Kuch Kehna Chaha,
Hath Mein Haath Deke Har Raah Mein Chalna Chaha,
Jhuki Hui Palak Ki Ada Ko Jab Meine Samajhna Chaha,
Thaam Ke Usko Apni Baahon Mein Bharna Chaha,
Tadap Yeh Dil Ki Sahi Nahi Jaati,
Tum Nahi Ho To Yeh Jaan Kyon Nahi Jaati,,
Yeh Dhadkane Jo Itni Tez Chala Karti Thi,
Aaj Mujhe Kabr Tak Lekar Kyon Nahi Jaati,
Chudiyon Ki Khanak Kehti Hai Tumse Kuch Sanam,
Har Chudi Ka Sapna Alag O-Mere-Sanam,
Kuch Chudiyon Ka Armaan Tumko Sotey Hue Jagaana Hai,
Kuch Kehti Hain Humko To Bus Unko Tadpaate Jana Hai,
Tumhe Pyar Karne Ka Intezaar Hai Hamein,
Khaabon Mein Hi Sahi Ehsaas Hai Hamein,
Zulfon Ki Khusbhoo Se Madhosh Banana Hai Tumhe,
Har Pal Ko Yaadgaar Banane Ka Armaan Hai Hamein,
Tadap Na Jaane Yeh Kaisi Ruk Ruk Ke Hoti Hai,
Kasak Na Jaane Kaisi Yeh Har Pal Si Rehti Hai,
Kaise Katenge Yeh Pal Bus Yahi Uljhan Si Rehti Hai,
Deewana Yeh Dil Bus Unhe Hi Dhoondta Rehta Hai,
Aaj Bhi Hum Bhoolein Nahi Sanam Woh Raatein,
Jab Hum Tum Kiya Kartey They Kitni Hi Baatein,
Kya Yaad Hai Tumhe Kis Tarah Suntey Thhey Dhadkan Meri,
Saansein Tumhari Chalke Chooti Thi Meri Saansein,