Achambhit Reh Gayi Aaj Yeh Roop Dekh Kar
Naa Ro Saki, Naa Has Saki Un Baato Ko Sunkar
Khel To Gudde Gudiyo Se Khelate Hain Log
Kaise Khush Rahoge Kisi Ke Dil Se Khelkar?
Kabhii Sukham-Aa-Tisukhsm*
Kahi Nabh Se Bhi Vishaal
Satya Asatya Se Pare
Naa Bane Koi Aur Jaal
Abhii Abhii To Bachpan Ne Hasna Sikha Hain
Abhii Abhii To Chuje Ne Udana Sikha Hain
Saamne Bag Mein Lehlehaate Paudhe
Abhii Abhii Usake Kali Ne Khilana Sikha Hain
Ek Baar Mujhe Bhi Laga Lo Gale Se
Ki Ek Chubhan Bhar Aayi Hai Sine Me
Ek Baar Mujhe Bhi Laga Lo Gale Se
Ki Ek Sapna Pal Raha Hai Aankho Me
Phool Hoti To Masal Dete.
Diya Hoti To Bujha Dete
Hoti Main Baadal,Hawa Ban Uda Dete…
Patthar Jo Hoti Tum Tod Dete
Iss Zindaagi Ke Bhii Azeeb Rang Hote Hain
Yeha Dil Kabhii Hasate, Kabhii Rote Hain
Dhoop Chhaanw To Sabane Hain Dekhe
Kuchh Log Angaaro Par Bhii Sote Hain
Har Sama Ko Baandh Laane Kii Tamanaa Hai
Har Geet Ko Gungunaane Kii Tamanaa Hai
Aakash Ke Ant Mein Bhi Paaw Pahuche Mere
Badalo Ke Ot Mein Lipat Jaane Kii Tamanaa Hai
Aksar Ye Sun.Ne Mein Aata Hain
Bahut Pyaar Hain Tumse
Dil Kya Jaan Bhee De Denge
Aksar Ye Sun.Ne Mein Aata Hain
Jaage Jaage Aankhon Mai Soye Soye Sapne Hain,
Duniya Mein Bhid Kitani, Kitne Yahaan Apne Hain?
Gum Apne Dil Ka Sabhi Ko Hai Rulaata Yahaan,
Dusro Ke Gum Bhi Samjhen, Aise Log Kitne Hain?
Ekk Sawal Baar Baar Uth Raha Hain
Jawab Kii Talash Mein,
Dil Dard Se Badh Raha Hain
Kaise Samajhaaoon Iss Naadan Ko