Badley Jo Rastey Shaam Dhaltey Hi
Ruk Gaye Qaafley Shaam Dhaltey Hi
Main Talaash Karta Tha Roshni Ko
Mil Gaye Andherey Shaam Dhaltey Hi
Jaatey Jaatey Hum Pey Woh Ehsaan Ker Gaya
Mukammal Barbaadiyoun Ka Samaan Ker Gaya
Ekk Girtey Hoye Ko Jab Sambhala Us Ney
Khuqat-E-Sheher Ko Woh Hairaan Ker Gaya
Aaj Chaand Nazar Aaya Hai Barey Dinou Baad
Dil Main Koi Ghabraya Hai Barey Dinou Baad
Teher Jaatey They Ansoo Aankh Kay Kinaarey
Aaj Khud Ko Bhi Rulaya Hai Barey Dinou Baad
Kuch Deir Aur Merey Saath Tu Wafa Ker Dey
Phir Jab Dil Karey Janaa Mujhey Reha Ker Dey
Shiddat Mohabbat Ki Kya Bataoun Rehney Dey
Tujhey Main Bhool Jaaoun,Tu Hi Dua Ker Dey
Kin Chiraaghoun Ko Bujhaoun Kin Ko Jaloun Main
Kis Ka Banu Dushman Kis Sey Dosti Nibhaoun Main
Darr Sa Lag Raha Hai Mujhey Apney Mustakbil Sey (Mustakbil – Future)
Soochta Houn Apney Maazi Ko Kesey Bhulaaoun Main
Chartaa Suraj Poochey Gaa
Raat Kay Andherey Kya Hue
Shama Kay Sawerey Kya Hue
Kuch Deewaney Puraaney Se
Phir Kuch Is Tarah Shuru Hoye Silsely Mohabbat Kay
Mein Khwab Dekhta Tha Woh Taabirain Samet-Ti Thi
Main Jaanta Nahi Kis Talaash Main Rehti Thi Woh
Mein Baat Karta Tha Woh Ankhein Dekhti Thi
Kya Tumhey Meri Yaad Ney Kabhi Sataya Hai
Kahin Kisi Raat Merey Khwaab Ney Jagaya Hai
Kabhi Aankh Lagi Hai Meri Yaad Ki Goud Mai
Tasavur Main Kabhi Meri Ungliyoun Ney Sulaya Hai
Aisay Khwaab Bhi Aksar In Ankhoun Ne Dekhe Hain
Terey Honton Kay Tamaam Alfaaz Sirf Merey Hain
Apni Har Saans Ko In Kay Hawaaley Ker Doun Gaa
Kis Qadar Mahfooz Teri In Baahoun Kay Gherey Hain