Kaha Gayi Woh Yari Woh Yarana
Woh Mahfile Woh Maykhana,
Ab To Tv Internet Ne Inhe Mar Dala,
Kaha Gayee Woh Dosti Woh Dostana
Zindagi Ek Mayabajaar Hain Dost,
Eske Har Ek Kashish Mein Mayajaal Chupa Hua Hain
Eske Har Lamhon Ko Jee Liya Hain, Iske Bhoot Mein Chipkar
To Kabhi Yu Hin Iske Ateet Mein Zankkar
Garajnewale Badal Kabhi Baraste Nahin Yaro
Par Asman Barastebhi Hai To Badal Ke Garajneke Baad Hi Na Yaro
Kitna Fasla Hain Asman Aur Zameen Mein
Barishki Boondo Ko Zameen Par Pahuchne Mein, Koi Andaja Nahi Yaro
Main Kahta Hoon Main Aazad Hoon, Nahin,
Kabhi Kisiki Nazar Mujhe Azad Nahin Hone Deti
Kabhi Kisi Hawanke Jhokoka Sunghna Azad Nahin Hone Deta
Sooraj Ki Roshni Ki Pahunch Wahatak, Shayad Mere Jadotak,
Kya Tera Ana Jaroori Hain,
Bagair Tere Bhi Jee Raha Hoon Main
Kya Tera Muzhe Apne Gesuonmein Chupana Jaroori Hain,
Bagair Jiske Bhi Khil Raha Hoon Main
Koi Paudha Ho Ya Ped Ho,
Jadoke Bina Kya Khada Ho Bhi Sakta Hain
Fir Kyun, Kamal Ke Jadokato Koi Thikana Nahi,
Woh To Panimein Palte Hain
Aksar Samajhne Lage Hain Yeh Zamanewale,
Tum Subke Kayanatki Buniyad Main Hoon,
Kashtiyonme Sawar Honkar Panimein Dekhna Jaroori Nahin,
Kyonki Kadam Pate Hi Kashti Dagmagane Lagti Hain
Aye Admi Tuzhe Zindagimein Kya Jaroori Nahin
Magar Tu Sirf Akela Bhi To Jeene Ke Liye Kafi Nahin
Madaribhi Apne Banderse Aur
Tashke Pattebhi Unme Chipe Jokarse Tamanna Rakhte Hain
Aaj Subah Parde Hata Diye, To Tum Sooraj Ke Kirnomein Najar Ayee
Jaise Mere Gharmein Roshni Mein Tum Chayee Huee Thi
Meri Nigahonmein Tum Simatne Lagi Thi
Faasle Kuch Kam The To Kuch Jiyada Bhi The
Barish Ke Bundo Ka Dhire Dhire Rukna
Jaise Dur Kisi Jagah Se Ghodonki Chalne Ki Ahat,
Tumhara Woh Hawan Ke Zhokoke Suromein Nachna
Jaise Kisi Nagin Ka Safere Ke Bin Par Dil Kholkar Dolna